Fatema Zahra, Fatema Zahra..(4)Madha karni hai fatema ki mujhe..(2)sahibe zulfiqar al-madadebakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)1. Bakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahradehne aayaat mein qur'aa ki zabaa'n hai zahramisra e hazrat e chishti me nihaa'n hai zahradee'n hai shabbir to shabbir ki maa hai zahrahaq ki tableegh ke paighaam me kya rakha haiye jo hat jaye to islam mein kya rakha haibakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)2. Lab e payghambar e akhir ka wazeefa zahrachashme qur'aa se jo dekho to saheefa zahraismat o iffat o hikmat ka khazeena zahraabd o mabood ke maa bayn waseela zahraus waseele ki agar raah numayi na milekhud rasoolo'n ki duao'n ko rasaayi na milebakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)3. Ishq tauheed hai tauheed ka irfan hai yehishq iqraar e nabuwat hai to eeqaan hai yehishq hai khun ki ye dil khoon ka dauraan hai yehishq eemaan hai eemaan ki pehchaan hai yehapne eemaa'n ko tazabzub se mubarra na kiyawo kahi ka na raha jisne tabarra na kiyabakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)4. Farz e tehzeeb e aqeedat ko nibhana warnaek reyaaya ki tarha sar ko jhukana warnaazmat e maadar e hasnain batana warnabe ijazat dar e zahra pe na aana warnahaq ne bakshi hai jo tauqeer wo jaa sakti haimalakul maut tujhe maut bhi aa sakti haibakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)5. Waah kya darr hai dar e bint e shehenshah e umamye sakhawat ye ataaein ye shifa'at ye karamye hai salman e muqaddas wo sulaiman e hashamye bulandi, ye buzurgi, ye falak aur ye humsar jhukate hai to azmat ka safar lagta haisar uthate hai to kausain se sar lagta haibakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)6. Tere darr par tere hubdaar khade rehte haiambiya, auliya autaar khade rehte haihaan mere jaise bhi gunehgaar khade rehte haihadd hai ye ahmad e mukhtar khade rehte haimanzil e sidra pe jisko na jhijhakte dekhaus nabi ko teri dehleez pe rukte dekhabakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)7. Mohr e angushte wilayat pe nageena teramalik e mulk ki daulat hai safeena teraturbato'n mein jo nehaa hai wo khazeena teraKarbala teri, Najaf tera, Madina teraRiqqa o Mash'had o Kashaan o Halab tere haiaasmaa'n jitne zameeno pe hai sab tere haibakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)8. Hukm jo dediya tune wo nibhana hogakhudko hasnain ka khayyat batana hogaseeke malboos ko hasnain ke laana hogatune jab keh diya rizwan ko aana hogatere aage to mashiyat bhi nahi chal saktikuch bhi hojaye teri baat nahi tal saktibakhuda hakima e kaun o makaa'n hai zahra..(2)Fatema Zahra, Fatema Zahra
0:000:00
Lyrics
Open lyrics pageListen offline & build playlists
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.