Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Bhool Pai Sakina As Kahan

Farhan
0:000:00
Tanhaiyaa'n, sargoshiyaa'n..(2)Haan sakina ki hai ye fughaa'n..(2)Meri gardan mein bandhi gayi rassiya'nMere kaano se nochi gayi baliya'nKhoon behta raha... HaaDard behta raha... HaaTaziyane la'eeno ke aur wo jafaBhool payi sakina kaha'n..(3)Mujhko kaan'to pe paidal chalaya gayaBaap ka sar dikha kar rulaya gayaTga wo kaisa safar..  HaaBibiya'n nange sarr... HaaEk ek zakhm se khoon behta rahaBhool payi sakina kaha'n..(3)Mai jo royi to mujhko tamache lageThak ke soyi to abid ko durre lageBeech bazaar mein.. haaShehre aghyaar mein.. haaHaye sadaat ka jo tamasha banaBhool payi sakina kaha'n..(3)Bola darbaar mein aake yu ek shaqiTu kanizi mein jaa hakime waqt kiKaisa lamha tha wo.. haaKaisa sadma tha wo.. haaRoke us dum pukari mai haaye chachaBhool payi sakina kaha'n..(3)Mere baba ka sar tasht mein tha rakhaUsse gustakhiya'n karte the ashkiya'nKoi haami na tha.. haaKisko deti sadaa.. haaEk ghayyur bete ko ghaiz aa gayaBhool payi sakina kaha'n..(3)Raah mein paani aata mayassar agarDaal deti thi abid ki zanjeer parHar qadam ek jafa.. haaRona bhi jurm tha.. haaDarmiya'n shamiyo ke thi aale abaaBhool payi sakina kaha'n..(3)Pucha hakim ne darbaar mein shimr seIn aseero mein bint e ali kaun haiRo rahi thi phuphi.. haaThi wo kaisi ghadi.. haaNaam phuphiyo ka leta tha wo be hayaBhool payi sakina kaha'n..(3)Dil pe patthar rakha aur jeeti rahiTaziyane laeeno ke sehti rahiDushmano ka watan.. haaMai aseere mahan.. haaJis jagah ek lamha tha ek saal saBhool payi sakina kaha'n..(3)Kamsini aur aseeri wo zindaan kiJis jagah maut bhi aake rone lagiYaad nashtar bane.. haaKhaak bistar bane.. haaPhir ye zindaan meri lahad ban gayaBhool payi sakina kaha'n..(3)Ek paigham hai zaero'n ko yehiShab ko bibi ke roze pe jao kabhiRo rahi hai waha'nAb bhi tanhaiyaa'nSunke aaye hai farhan o mazhar sadaaBhool payi sakina kaha'n..(3)

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay