Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Bazar Aa Gaya 2009

Irfan Haider
0:000:00
Bazaar Agaya HeNoke sina pe farqe burida salam leAy Fatima ke qalbe darida salam leKya tera faisla heBehan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Athara bhaiyon ki behan aur beridaDekho khare hein kitne tamashaai ja bajaDil roke puchhta he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Khutbon ki tegh saath he aur sabr dhaal heZakhmon se chur chur badan dil nidhal heYe meri karbala he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Naaqon pe ehle bayt bhi gham ke safeer heinPathhar he taziyane hein neze hein teer heinZakhmon ki ye dawa he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Na paak in zabaanon pe ab naam he meraHe qafele ka karwan ghairat ka ik khudaYe gham bohot bara he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Aankho(n) se kyu na ho meri seylaab-e-gham rawaa(n)Qaydi rasool-e-zaadiyaa(n), Sajjad saarebaa(n)Sadmo(n) ki inteha hai, behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Jana he sar khule mujhe darbaar kuchh bataEy karwane dard ke salar kuchh bataTu zabt ka khuda he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Nake se girgayi he sakina mere hussainKya jaane ab kahan he hazina mere hussainAnjaan rasta he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2Darbaar aaraha he behan kya kare bataKulsum ham nawa he behan kya kare bataHar zakhm puchhta he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×2"Irfan" dard he tujhe aur gham se agahiLikhti kitabe ranjo alam "mazhar abdi"Aur naam ye rakha he, Behan kya kare bata[Bazaar agaya he, Behan kya kare bata] ×3

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay