Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Baap

Shadman Raza
0:000:00
Din dhale jab karke mazdoori Raza aata hai Baap..(2)Dekh kar hanste hue bachon ko sukh pata hai baapSamne Ankhon k jis bete ke mar jata hai baapLamha lamha zindagi bhar usko yaad ata hai baapJane kitne khwab karte hain safar bache ke sathGhar se pehli bar jab school le jata hai baapUmar bhar rehti hai us bete ke dil me ik khalishJab tarakki dekhne se pehle mar jata hai baapThaam kar ungli jise chalna sikhaya muddatonEk din uske sahare ko taras jata hai baapJab numaya kamiyabi chume bete ke qadamNazr dilwati hai maa, sajde me gir jata hai baapZindagi bhar chalta rehta hai mashinon ki tarahMaut ki godi me ek din thak k sojata hai baapRote rote bus yahi kehta hai wo haye HussainJab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai baapKoi un bachon se puche kya hai shadi ka mazaByaah ki tareekh rakh kar jinki mar jata hai baapRoz e ashura bana deti hai maa saqqa humeEk chota sa uthane ko Alam lata hai baapRoke zainab s.a ne kaha baba bhara ghar lut gayaJab shabe sham e garibaan me nazar aata hai baapKya kahunga haal e Asghar poch bethe jo rubabAgey jata hai kbhi peeche palat aata hai baapMangne aati hai jab darbaar me baag e fidakGhamzada beti ko jane kitna yad ata hai baapHone hi wali hai is sham e garibaan ki seharBazuon ko choom kar beti ko samjhata hai baapQaid khane me hua kohraam bacchi mar gaiKhuwab me ek shab sakeena ko nazar aata hai baapYe azadari ka sadqa hai jo barzakh me RazaMajlison me rote hain hum or jaza pata hai baap..

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay