Shaam aagaya Shaam aagayaKarb o bala se loat ke aaya jo qaflaQabr e Nabi pe matam e Shabbir jab huaZainab ne baal kholay Nabi ke mazaar parBoli luta ke aayi hoon jangal may saara gharAray Nana May roti rahiMera ghar ujrraTera deen bacha NanaLaikin meray Hussain ne waada nibha diyaHussain ya Hussain ya HussainNana teray sheher se chala Zehra ka laadlaDeen ke kaam aa gayaSalaar e qafla ban gayaBeemar natawanAur phir Shaam aa gayaRaahon ke sangrezon ne pursa diya usayHaey Nana Shaam walon ne baaghi kaha usayAey deen ke badshah teray is mazloom laal parYe bhi ilzaam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Aey Nana baazuon may jab baandhi gayi rasanMay ro parhi to naize se bolay Shah e zamanAey behna gham saho har gharhi ummat ke wastaySun ke aaram aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Nana bataoon kaise may kiya ho gaye sitamKufay ke dar pe jaise hi pohonchay aseer e ghamAbid ke lab hilay dekh kar Muslim ki laash koLab pe Ash-Shaam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Wahan ik Yahoodi rehta tha Bahya tha jis ka naamWo kalma parrh ke chaadarain le aaya khush kharamPhir chadarain chini phir wohi behurmati huiSabr phir kaam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Koofay may ham jo aa gaye beparda noha garKehta tha Koofay walon se ye shimr e bad goharHakim ko do khabar laya hoon naizon pe sab ke sarLenay in-aam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Abid ko aa ke Khooli ne gham ki khabar ye diHakim ke samnay abhi peshi hay aap kiNana ye saneha aap ke sadaat ke liye Ban ke kohraam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Beghairaton ke shahr may sadaat aa gayayPohonchay jo dil ko thaam ke haakim ke saamnayAey Nana us gharri aik ik bibi ke zehn may Tera zarghaam aa gayaAur phir Shaam aa gayaNana teray sheher se...Wo batain likh saka hi nahi Mazhar AbidiJo keh rahi thi Nana se beti Batool kiAey Nana meray dard ka Irfan hay jisayAray ansoo na ruk sakain gay kabhi us ki ankh seJab Shaam pohoncha qafilaSadaat may kohraam thaHaey haeyPathar bhi lagaySau zakhm sahayDurray lagayTanay sahaySab hanstay rahayHam rotay rahayBas haey Hussaina kehtay rahayHussain ya Hussain ya Hussain
0:000:00
Lyrics
Open lyrics pageListen offline & build playlists
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.