Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Ana Ibn E Makka (A.S) O Mina

Nadeem Sarwar
0:000:00
bayaan karta hun darbaare shaam ka manzarjahaan the saath sau kursi nasheen fitna garyazeed jham raha tha sharaab pi pi karaur aisi bazm me afsos aale paighambartha un ke samne ek bad kalaam mimbar parbayaan karta tha jhuthe yazeed ke joharjab us ne khatm ki taqreer bad kalami parkhateebe jahal se bole ye aabide muztarke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magarkhareeda qehre khuda tu ne mukhtasar zar parare jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hailakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab haikahaa yazeed se kuch main kahun ijaazat deyazeed chup tha to darbari saare kehne lageyazeed de de ijaazat ise bhi kehne deye kya kahega larazta hai jo naqaahat sesambhaale tauq o rasan shaane kirdegaar aayiimaam aaye ke mimbar pe zulfiqar aayiya hussain ya hussainya hussain ya hussainjis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aayawo akela tha magar surate lashkar aayalab kusha surate quraan wo haidar aayajab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chalikarbala me na chali thi jo wo talwaar chaliana ibne makka o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemalehja e noor me mola ne kahaa bismillahlaayeqe hamd o sanaa hai to wo hi ek khudajis ne ham aale muhammad ko hai takhleeq kiyajis ko malum hai malum hai mera shajraajo nahin jaanta wo sun le taarruf meraana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemaham ko allah ne tchhe khubiyaan bakhshi bakhudailm aur hilm diya aur dile momin me rakhaahai samaa'at wa fasaahat wa shujaa'at wirsakam na thi khubiyaan tchhe jo ke ye izzat ke liyesifatain saath mili aur fazeelat ke liyeana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemaham me awwal jo the wo ahmade mukhtaar huwekoyi hamza to koyi jaafar e tayyar huweham hi haidar huwe abbase alamdaar huweham ko mairaje risaalat bhi imaamat bhi miliham ko mehrabe ibadat main shahadat bhi miliana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemaus ka farzand hun seh ruz raha jo pyaasadarmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laashajis ke sajde ke sabab khaak bani khaake shifaakhaak aur khoon me duba tha amaama jis kasume asbha tale ronda gaya laasha jis kaana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemaahle insaaf ab insaaf se itna keh dejis ki chaukhat pe salaami ko farishte utrenauke neza se laeen un ki ridaayen lutetum ne khaime nahin allah ka ghar khaak kiyakalma parh parh ke muhammad ka jigar chaak kiyaana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemajis ke parde ke liye aayate tathear aayisang barsaate huwe un pe yahaan tak laayihaif hai ruhe muhammad se na tum sharmaayeham ne paabande rasan ho ke tujhe maara haiibne marjaana tu jeeta to nahin haara haiana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemabaat jab khul gayi saadaate muhammad hain yahaanro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaanaur isi shor me haakim ne diya hukme azaansaat afraad jo yek mosht azaan dene lagehaq me sajjaad ke darbaari bayaan dene lageana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemajab mo'azzin ne kiya kalma e takbeer adaabole sajjaad buzurgi hai usi ko zibajaise hi naam muhammad ka mo'azzin ne liyamur ke haakim se kaha tere iraade bad hainye muhammad hain tumhare ke hamaare jad hainana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemaaib kyun apne chupata hai azaanen de karthe agar tere muhammad to sitam kyun ham pardaal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazarzakhm jo tu ne diye sab dile bimaar me hainbetiyaan hain ye muhammad ki jo darbaar me hainana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatematu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillahna payambar na wahi aayi na quraan utraaphir azaanen bhi tu darbaar me hai dilwaatale munaafiq tere chehre se utarti hai naqaabjis ka munkir hai wo quraan tera lega hisaabana ibne makkah o minaana ibne zamzam o safaana ibne ali o fatemais shaqaawat pe bhi ham haare nahin jeet gayenaam azaanon me tumhaare nahin ham jeet gayekya ye qudrat ke ishaare nahin ham jeet gayeyek ba yek fathe mobeen sab ko nazar aane lagimarhaba sayyade sajjaad sadaa chhaane lagibole phir aabide bimaar ye izzat dekhidekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhiphir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhijis ka haami ho khuda kaun use zillat deizzaten us ki hai allah jise izzat dehaaye hussaina haaye hussainautre mimbar se to baba ke kate sar ne kahaamarhaba ay mere sajjaad ghareebe zehramo'jiza sarwar o rehan falak ne dekhakhutba e zainab o sajjaad ne wo kaam kiyahashr tak zikre hussain ibne ali aam kiya

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay