Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Abbas_Teri_Behno_Ko

Farhan
0:000:00
Haye shaam, haye shaam..(2)Haye abbas, haye abbas..(3)Abbas teri behno ko, bazaar mein laaya jatah hai..(2)1. Suraj ne khule sar jisko, ghar mein bhi kabhi na dekhaafsos wahi shehzadi, balwe mein gai wawailazainab ki yaha aamad par, darbaar sajaya jaata hai2. Kis shaan se teri zainab, mehmil me chali thi ghar seaur aaj safar par nikli, to raah mein patthar barsebe parda nabi zaadi ko, galiyo'n me phiraya jaata hai3. Kya tujhse kahu ae ghazi, dekhe hai yaha ghum kaiseraaho mein sakina teri, paani ke liye gar royebache ko dikha kar paani, reti pe bahaya jaata hai4. Be dard hai be ghairat hai, ye shaam ke rehne waaleaankho'n pe pade hai parde, aur inki zaba'n par taaleye chup hai nabi zadi ko, balwe me bulaya jaata hai5. Ek lamha nahi hai aisa, eeza na koi pohchayethak kar wo kahi gar baithe, sajjad ko neend aa jayehaye haye zanjeer hilakar, qaidi ko jagaya jaata hai6. Dohraya gaya maazi ko, hai zulm wohi aur ghum bhiummat bhi wohi, chehre bhi, darbaar wohi aur hum bhikal amma jaha'n aayi thi, ab mujhko bulaya jaata hai7. Raaho mein kisi manzil par, deta jo hume koi chadarle jaate hai phir wo chadar, hakim ke sipahi aakarek ghum me teri zainab ko, kai baar rulaya jaata hai28. Barsaat kabhi durro ki, hoti hai kahi sangbaariae bhai bata kyu na ho,jeene se mujhe bezaarisadaat ko in raaho mein, har gaam sataya jaata hai9. Ye farsh e aza ye matam, zainab ka qarz hai humparduniya se kahe fir kyu na, farhan aur mazhar rokarjo aale nabi par guzri, nauho mein sunaya jaata haiHaye shaam, haye shaam..(2)

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay