Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Abbas Abbas

Shadman Raza
0:000:00
Ya Abbas.....3Hai bekaso ka ghareebo ka aasra AbbasWafa hai mulk to us mulk ka Khuda AbbasJanabe Fatema Zehra ka muddaa AbbasJanabe Haider e Safdar ka aaina AbbasHar ek simt do aalam me zikr hota hai..2Janabe Fatema binte Asad ka pota hai..Abbas Abbas Abbas .......2Har ek sawal se pehle jawab dete hainJo zarra mango to ye Aftab dete hainKoi jo katra kahe behre aab dete hainSakhi hain kanto ke badle gulaab dete hainYahi ruke huwe tufaan ka ishara hai...2Furat par abhi Abbas ka ijara haiAbbas abbas abbas......2Us hi furat pe maare gaye padardo malalPahoch ke laash pe Sarwar ne tab kiya ye malalAbhi pura karunga agar ho koi sawalJari ye ro ke pukara ke ay Batool ke LaalLaga hai aankh me jo teer use hata dijiye..2Huzoor apna ye chera mujhe dikha dijiyeAbbas abbas abbas.....2Kaha ye aur suwe Firdous chal diya GhaziLabe furat har ek mauj khoon bahati rahiYe kyunke Hazrat e Abbas ki wasiyat thiJo lash sahil e Darya pe Shah ne chodiYe kehte jate the ab kis tarah jiye Shabbir..2Alam ko leke suwe khaima chal diye ShabbirAbbas abbas abbas....2Tamam bacchon ne hatho se kuze phek diyeAlam se Haaye chacha keh ke daud kar lipteSakina boli Chacha ko kahan pe chod aayeNa pani chahiye ab aur hai na pyaas mujheChacha ya to yahi par bula do ay Baba..2Ya mujh ko paas unhi ke par sula do ay BabaAbbas abbas abbas.....2Zaban e haal se Zainab pukari Ay BhaiHo Tum pe khwahar e dilgeer wari Ay BhaiSuno aake hamari duhai Ay BhaiKahin lute na ridae hamari Ay BhaiMagar hua wahi Zainab ko jiska khatra tha..2Jo shaam aayi to na chadar thi aur na parda thaAbbas abbas abbas.....2Kisi ke sar pe na baki rida thi Ay MajidAjeeb tarah ki joro jafa thi Ay MajidKe ashk afsha wo chashme Khuda thi Ay MajidKe taba shaam haram ki sada thi Ay MajidKahan ho ab pay e imadad aao Ay Abbas..2Hume sitam se laen ke bachao Ay AbbasAbbas abbas abbas....3

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay