Zuljanah ata hai khali[Zuljanah zuljanah] ×3[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×3(Aas tuti bibiyo(n) ki) x2 Ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Khoon mei duba huwa rahwaar aya hai khuda,Yeh qayamat ka koi payghaam laya hai khuda,[Chor kar apni sawari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Chor kar baba ko mere aa gaya ay zuljana,Kar diya pardes my be aasra ay zuljana,[Yeh sakina ki sada thi] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Mei kyun bhaayi jaan tere baad zinda reh gai,Haye kyu(n) na aansuwo(n) ke sath apney beh gai,[Yeh bahan tum pey ho wari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Roza-e-aqdas pe jaake apney nana jaan se,Eik bibi keh reh rahi hai khwab kuch anjaan sey,[Thaam kar roze ki jali] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Ik zaifa baal kholey karbala ko ayi thi,Apne bete ke liye jo haaye marham laayi thi,[Kar rahi hay aah-o-zari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Apni chadar ko sambhaley bibiyaa(n) roney lagi,Dekh ke khali sawari yeh buka karne lagi,[Jal gayi qismat hamari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Jisne kandho(n) par nabi ke ki sawari wo hussainRehmate jispar khuda ne hai utaari wo hussain[Hogaya neze pe qari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2Na raha "arman" koyi bibiyo(n) ka asraKhoon ke ansoo muhari us ghari rone laga[Dekh kar khali sawari] ×2 ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2(Aas tuti bibiyo(n) ki) x2 Ya ilahi khair ho[Zuljanah ata hai khali, ya ilaahi khayr ho] ×2
Zuljanah ata hai khali
Tejani Brothers · 2006
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.