Sena pe sir h chalaShahe madina kaHai aankh me aansuLabo pe hamde khudaWo kaise dekhe bhalaAseer h kunba,Hai jari ahle haram k labo pe ek hi sada,Zindabad ya Husain zindabad ya Husain1-Sare Husain se kahti hain saniye zahraAye mere bhai ye tujhse bahen ka h wada,Her aik ghar me bicchegi teri ye farshe aza,Krungi qasre yazeedi me tera gham mai bapa,Aye mere bhai HusainDile batool k chainAli k noorul ainAye deen k zebo zainZindabad ya Husain zindabad ya Husain2-ye bole sayyade sajjad roke aye babaAye baba apka paigham mit na payegaNaqab Zulm k rukh se mai yu ulat dunga,Na bhul payegi qurbani apki duniyaAye mere zakhmi pedar,Aye Shahe jinno basharAye deen k rahbarAye deeen k yawarZindabad ya Husain zindabad ya Husain3-sare Husain se kulsoom roke chillayiNisar teri ghareebi pe ho ye dukhpayiAhed ye krti h tujhse teri ye manjayiNa mitne dungi tera naam daher se bhaiAye mere tashanadahanAye mere zakhmi badanAye be dayaro watanFeda ho tujhpe bahenZindabad ya Husain zindabad ya Husain4-sare Husain se bano k lab hue goya,Aye mere waliyo waris na yu kro girya,Jo lut rha hai to lut jaye ye bhara kunbaTumhara naam magar ta abad rhe zinda,Aye Deene haq k imamBulando bala maqamAye Shahe khairul anaamSada rhe tera naamZindabad ya Husain zindabad ya Husain5-sakina ro k ye boli aye bekafan babaMere ghareeb pedar mere be watan babaPada h khak pe zakhmi tera badan babaAbhi bhi gham me tere rota h ye ban babaRehayi qaid se pa ker watan jo jaungiHer ek ghar me safe gham tera bichhaungiTeri ghareebi ka qissa unhe sunaugi,Tu kitna pyasa tha duniya ko ye bataungi,Aye Shahe kono makanAye mere khushkzabanSaware noke sena'nAlio zahra ki jaa'n6-suhail Mar k Jo duniya se qabr me jana,Minhal qabr ki wahshat se khauf mat khana,Wahan bhi majlise shabbeer tum bapa krna,Bigho ke aankho ko ashke aza se, ye kahnaAye Shahe sabro wafa,Aye Shahe karbobalaQateele joro jafa,Shafeeye roze jazaZindabad ya Husain zindabad ya Husain
Zindabad Ya Hussain
Minhal Ali Rizvi · 2023
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.