Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Zainab ke dularo par

Mohammad Raza Gopalpuri · 2017

Zainab ke dularon par kya waqt e musibat haiTapta hua sehra hai aur pyas ki shiddat hai1. Ashoor ki shab zainab kehti thi ye beto seSar apna kata dena mamu se jo ulfat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai2. Haider ke nawase ho jafar ke ho tum poteKya khauf hai dushman ka wirse me shujaat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai3. Tadad bohot kam hai as-habe hussaini kiDekho mere bhayya par kya alam e ghurbat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai4. Parwa na meri karna maida me chale janaIslam ko tum dono bhai ki zarurat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai5. Akbar na chala jaye maqtal me kahi pahleTum mere pesar ho wo hamshakl e risalat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai6. Bhule se bhi pani ki janib na nazar karnaKamsin ali asghar par bhi pyas ki shiddat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai7. Ghorhe se giro jis dam mamu ko sada denaDeedar kara dije apna dam e rukhsat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai8. Hain samne aankhon ke mah paaro(chand ke tukrhe) ki do laasheEk maa ke liye kitni sangeen musibat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai9. Karti hun ada phir bhi mai sajda e shukranaTum mare gaye mera bhayya to salamat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai10. Farzando se zainab ne rokar ye kaha hogaNaushad ke nauhe ki qeemat me ye jannat haiZainab ke dularon par kya waqt e musibat hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.