Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Yeh bali sakina hai

Ali Shanawar and Ali Jee · 2023

Haye sakina, haye haye haye shaam..(4)Din raat sadaa jo aati hai..(2)har dil ko jo tadpati haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Din raat sadaa jo aati hai..(2)har dil ko jo tadpati haiYeh bali sakina hai..1. Naazo se pali hai yeh bachhisab uske naaz uthate thekabhi maa, kabhi baba, bhai, chachasab ispe waari jaate thekabhi ye godi, kabhi wo godi..(2)masooma ko yaad aati haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Din raat sadaa jo aati hai.. (2)har dil ko jo tadpati haiYeh bali sakina hai..2. Baba se bichadh kar beti nekya kya na masaeb dekhe haipyasi bhi rahi, qaidi bhi banizalim se tamache khaye haijo seena e shah pe soti thi.. (2)ab woh hi khaak pe soti haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Haye sakina, haye haye haye shaam..(2)3. Zindaan ke darr se jo guzrebibi har ek se kehti haibaba se milo to keh denatumhe yaad sakina karti haitum paas chale aao baba..(2)ro ro ke jo chillati haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Din raat sadaa jo aati hai.. (2)har dil ko jo tadpati haiYeh bali sakina hai..4. Ashoor se lekar zindaa'n takhar zulm use yaad aata haiabbas, akbar, qasim, asgharbaba ka ghum tadpata haizindaan mein matam kar kar ke.. (2)jo sab ka sog manati haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Haye sakina, haye haye haye shaam..(2)5. Sajjad se ro ro kehti haikab milne baba aaengeachhe bhaiyya, ye batla dokya hum bhi kabhi ghar jaengekabhi bhai se, kabhi amma se..(2)har waqt sawaal jo karti haiYeh bali sakina hai..Zinda'n mein jo roti hai, baba ko bulati haiYeh bali sakina hai..Din raat sadaa jo aati hai.. (2)har dil ko jo tadpati haiYeh bali sakina hai..Haye sakina, haye haye haye shaam..(4)Yeh bali sakina hai..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.