Ya husain, ya husain..(3)Ye musalmano rasool e paak ka farmaan hai..(4)Tumme chhode jaa raha hu..(2)Aal aur Qur'an hai1. Khoob hai ajre risalat mustafa ko mil raha..(2)qatl sayyed ho rahe hai..(2)jal raha qur'an hai2. Jiske lab harkat nahi karte wo hai amre khuda..(2)Kis tarha ye keh diya..(2)tune use hizyaan haiMai aksar sochta rehta hu, har roz guzar yu jaae..(2)Kya dushmani thi..(2)Banu hashim seLogo ki koi batlaayeJo waaste dono..(2)Aalam ke, hai rahmat banke aayeKya uski aal ki..(2)Khatir hai, zindaan gaye banwaye3. Dono alam ke liye jo baise rahmat bana..(2)kya usi ki aal ke hi..(2)waaste zindaan hai4. Deen e ahmad ki baqa ki waaste waiz bata..(2)juz nabi ki aal ke..(2)kiska hua nuksaan haiQanoon e mashiyat ka shanasa aisa..(2)kausar ho jo qadmo me to pyasa aisaDekh kar fakhr se kehte the rasoole saqlaintaqdeer se milta hai nawasa aisa5. Al husaino minni se ye saaf zahir hogaya..(2)ke husain ibn e ali me..(2)mustafa ki jaan hai6. Ye nishaa matam ke, dil me ghum ali ke laal ka..(2)apni bakhshish ka hamare..(2)paas ye samaan hai7. Naam usi hasti ke hai ye aajka nauha ameer..(2)jo ajal se ambiya ka..(2)momino sultaan hai
Ye musalmano rasool e paak
Hassan Sadiq · 1997
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.