Zamee'n pe arshe mo'alla dikhai deta hai..(2)ye ghar to kaabe ko kaaba dikhai deta haiye ghar butool ka hai..(4)1. Namaz e madha ka unwaan hai butool ka gharhar ek shaan mein zeeshan hai butool ka gharjaha'n ka markaze eemaan hai butool ka gharmakaan e aayat e qur'aan hai butool ka gharye kibriya ke liye zebo zayn ka ghar haimakaan e zehra hasan aur husain ka ghar hai2. Kamaal ghar hai yaha'n bakamaal rehte haimisaal kya ke yaha'n bemisaal rehte haikhayal e rabb ke sabhi hum khayaal rehte haijanab e zehra ke zohra jamaal rehte haizamee'n pe arsh e mo'alla dikhai deta haiye ghar to kaabe ko kaaba dikhai deta hai3. Hai is makaan ka darr karbala ka darwazakushada darr hai ye uqda kusha ka darwazayehi to darr hai shahe ambiya ka darwazadare rasool e khuda hai khuda ka darwazataharato'n ki mutahhir faza mein khulta haifaqat ye darr hai jo bayte khuda mein khulta hai4. Isi pe arsh e sitara utar ke aaya haiyahi'n pe dee'n ka sahara utar ke aaya haikalaam e haq yahi'n saara utar ke aaya haiyaha'n khuda ka utara utar ke aaya haifalak ke waasi utar kar zamee'n par aate haifarishte rotiya'n lene yahi'n par aate hai5. Har ek khaak ka zarra nagee'n hai is ghar meinfalak se aala hai jitni zamee'n hai is ghar meinhar ek arsh nashee'n hum nashee'n hai is ghar meinmaka'n jo rakhta nahi wo makee'n hai is ghar meinmakaan aisa kaha'n hadde do jahaaan mein hainuseriyo'n ka khuda bhi isi makaan mein hai6. Ye darr hayaat ka darr hai sifaat ka darr haimakaan e zehra ka darr kayenat ka darr haiye darr dar asl had e mumkinaat ka darr haiyehi to darr hai jo sabki nijaat ka darr haiqadam yaha'n malakul maut ke ukhadte haiisi pe ruk ke Mohammad(s.a.w.w.) durood padte hai7. Bani hai aayat e qur'aa se iski deewareinhai muntasil hade yazdaa'n se iski deewareinbaland aalam e imkaa'n se iski deewareinmili hai rabb ke shabistaa'n se iski deewareinbina makaan ki allah ke karam par haijaha'n se manzile kausain do qadam par hai8. Balandiyo ki alamat hai is makaan ki chhathai past saamne is chhat ke aasmaan ki chhatbayaan kaise ho ye wus'at e bayaan ki chhatmakaan e zehra ki ye chhat hai do jahaan ki chhatisi ki chhao hai azmat ke aasmano parye chhat hai saaya figan paanch(5) saayebano par9. Isi makaan mein allah ka habeeb bhi haiisi makaa'n mein makee'n amn ka naqeeb bhi haiqareeb e kaaba hai allah se qareeb bhi haiisi makaan mein fitrus tera tabeeb bhi haitawaaf iska ye kul kayenaat karti haiyaha'n kaneez bhi aayat mein baatein karti hai10. Isi makaan ke darbaan meesam o salmaa'nyahi'n pe noor ali deen e haqq hua hai jawa'nyahi'n pe adna sa khidmat guzaar hai rizwaa'nyahi'n kharidi hai haider ne marziye yazdaa'nyahi'n pe dhalti hai shab din yahi nikalta haiyaha'n pe chalti hai chakki to waqt chalta haiye ghar butool ka hai..(4)
Ye ghar butool ka hai
Rizwan Zaidi · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.