Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ye azadari ye azakhane

Waseem Rizvi · 2011

Ye Azadari ye azakhane , ye Azadar rahen qayemJab se shabbir ke roze se mili hai(n) Aa(n)khe(n)Bas usi din se Aza khana bani(n) hai(n) Aa(n)khe(n)Ye Azadari ye Azakhane , ye Azadar rahe(n) qaeim 2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ye Azadar rahe(n) qaeim 2Ghar ko khusbu e shahe deen main basaye rakhiyeZikre shabbier ko ho(n)to(n) pe sajaye rakhiyeDil mai(n) matam ke charago(n) ko jalaye rakhiyeApni Aa(n)kho(n) ko azakhana banaye rakhiyeHam Azadaro(n) ka iman Azadari haikiyo(n) ke is qaum ki pehchan Azadari haiYe Azadari ye Azakhane , ...............................2haq o batil ki bhi pehchan Azadari haideen ki fath ka ailan Azadari haiyani millat ki nigehbaan Azadari haikaun kehta hai ke be jaan Azadari haiye to paththar ko bhi insaan banadeti haiaur insaa(n) ko musalmaan bana deti haiYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Hath jab matam e sarwar me(n) uthate hai(n) hamChehra e dushmane dee(n) sab ko dikhate hai(n) hamKaun kehta hai faqt ashq bahate hai(n) hamHai lahoo paak hamara ye batate hai(n) hamHam gham e shah mai(n) jab Aah o buqa karte hai(n) 2Qarz tableegh e risalat ka ada karte hai(n)Ye Azadari ye Azakhane , ...............................2Ham se pucho ke gham e shah se kia hasil haiZikr shabbier ke raste hai(n) jina manzil haiYe Alag baat hai ye raah zara mushkil haiIs tarah khoon mai(n) shabbir ka gham shamil haiJab kabhi yad e shahe karbobala Aati haiDil dharakta hai to matam ki sada Aati haiYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Jab bhi hota hai yahaa(n) zikre shahe karb o balaYe Azakhane diya karte hai(n) ruho(n) ko ghizaaHaq baya(n) karti hai shabbir pe rone ki sadaLog karte hai(n) mohabbat ki namazo(n) ko adaJab Aazakhano(n) se Aati hai fuga(n) ki awaazAisa lagta hai ke jaise ho Aaza(n) ki AawaazYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Parcham e hazrat e Abbas uthane walo(n)Sheh ka paigham zamane ko sunane walo(n)Apna gham bhool ke gham sheh ka manane walo(n)Khush raho taziya khano(n) ko sajane walo(n)Jao jao ke tumhe(n) khuld saja deti haiHath uthaye huwe ek bibi duwa deti haiYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................28Zindagi kaise guzari hai, kiye kia AamaalLamhe kis tarha kate kaise guzare hai(n) saalHashr mai(n) hoga agar ulfat e sarwar ka sawalAshq Aa(n)kho(n) se rawa(n) hoke kahe(n) ge ahwalHath shabbir ke matam ki gawahi de(n)geYe Azakhane mere gham ki gawahi dengeYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................29Aaj charche hai(n) isi baat ke insaano(n) me(n)Ashq e gham hai ya lahoo Aa(n)kho(n) ke paimano(n) me(n)Zikr e shabbir ho basti mai(n) ke wirano(n) mei(n)Aasma(n) wale bhi Aate hai(n) Azakhano(n) me(n)Dekho har simt se khushbu e jina(n) Aati haiBa Adab baithiye shabbir ki maa(n) Aati haiYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................210Bangayee dee(n) ki taqdeer shahadat kis kiAaj insa(n) ko rulati hai musibat kis kiAy “faseel” aaj hai duniya ko zarorat kis kiSach kaho sare jaha(n) par hai hukumat kis kiKal jaha(n) par the mehal ab waha(n) wirane hai(n)Utne darbar nahi jitney Aaza khane hainYe Azadari ye Azakhane , ...............................2Tere shaidayee tere diwane , tere ghamkhar rahe(n) qaeimYe Azadari ye Azakhane , ...............................2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.