Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya zainab-e-kubra

Shahid Baltistani · 2003

Ya zainab-e-kubraBismillah-hir-rahmanir-raheem. Innama yureedullahu li yuzhib ankumur rijs ahlalbayti wa yu tahhirakum tatheera[Allah allah allah] ×4Allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai', allahu kabla kullu shai', allahu ba'da kullu shai'[Allah allah allah] ×2 [Ya zainab-e-kubra] ×6Ay bibi baniye azaa, peghaam karbala tera, jisne suna yahi kaha[Ya zainab-e-kubra] ×4Tegh khutbo ki barsare darbaar, jaise chalti ho haideri talwaar, katke ghirte the zalimo ke jigar, jang-e-khaiber thi ya teri lalkaar[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, quran ki thi ye sadaa[Ya zainab-e-kubra] ×4Yaad ata hai shaam ka manzar, bibi sarpe tere na thi chadar, har taraf patharo ki baarish thi, teri poshaak thi lahu me tar[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, sadma tha ye bohot baraa, roya sare shahe hudaa[Ya zainab-e-kubra] ×4Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ankhe ka paani[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, ye zabta hosla tera, neze pe ser pukaarta[Ya zainab-e-kubra] ×4Tere dar par ye istighasa hai, jo bhi farshe aza pe rota hai, us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, hum momino ki ye dua, ashke azaa ka waastaa[Ya zainab-e-kubra] ×4Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, bibi tu to sakhi ki beti hai, tu to muflis ko baadshaah kar de[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa[Ya zainab-e-kubra] ×4Qaid be jurma jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, unko azaadiyo ko tohfa de, aaj tu misle haidare karrar[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, hum ko hai tera aasraa, ghairo se mangna hai kya[Ya zainab-e-kubra] ×4Tere bhayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera[Ya zainab-e-kubra] ×4Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa[Ya zainab-e-kubra] ×2Ay bibi baniye azaa, har sabeel par likha, kehta hai khun bhayi ka[Ya zainab-e-kubra] ×4Ay bibi baniye azaa, humse na haq adaa huwa, karde muafye khata[Allah allah allah] ×8

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.