Jab mera maula zahoor karegakaabe ki deewar se tek lagakar mera maula kahegaAna baqiyatullah, mai baqiyatullah huaye ehle alam, mera jadd hussain haijisko pyasa shaheed kar diya gayaarey wo itna mazloom thake jise zalimo ne shaheed karne ke baaduske badan pe libas tak na chhodaaye mazloom hussain ke mazloom farzandaye talib e dame maqtool e karbalaya imam e zamanamaine karbala ko padha haimaine karbala ko suna haimagar karbala ke manazir ko dekhkarkhoon ke aansu bahane walemaula aap hi bataiye nakarbala pe aale nabi pe kya guzar gayiya hussain, ya hussainya sahib az zamaan..(6)1. Kijiye zara imam e zamaa'n karbala bayaa'nbe sar pade hai khaak pe kuch laasha e jawaa'ngirya kuna hai parda e ghaibat mein ek maakis karb mein hai sadiyo se ya sahib az-zamaa'nmaula ke dil mein zakhm hai taaza hussain kaab tak nahi utha hai janaza hussain kaya sahib az-zamaa'n2. Maula sunaein aun o mohammad ki dastaa'nguzri thi kya hussain pe laasho ke darmiyaa'ndono janaze leke jo aaye shahe zamaa'ndekha khadi hai saamne khaime ke darr pe maakaise behen ne bhai se aansu chupa liyeek maa ne kaise bachho ke laashe utha liyeya sahib az-zamaa'n3. Khoo'n mein nahaya kis tarha bhai ka wo pisarkarbal ki khaak par hue ghode idhar udharkaise hussain pohche the dil ko sambhal karbikhre the shah zade ke tukde zameen parrakha rida mein kaise tane paash paash koshabbir kaise laaye the qasim ki laash koya sahib az-zamaa'n4. Halat thi kya furaat pe us tashna kaam kibaazu kate the karta tha koshish salam kiaankho'n mein teer ye thi musibat ghulam kighazi ne kaise ki thi ziyarat imam kitha pyaar kitna ghairat e ilyaas ke liyeshabbir kitna roye the abbas ke liyeya sahib az-zamaa'n5. Ya sahib az-zamaan wo manzar bataiyelaashe pisar pe jaane ko shabbir jab badheraste mein kitni baar wo baithe, uthe, girepeeri mein kaise baap koi ghutniyo chalelaashe pisar pe kis tarha himmat sambhal lilakht e jigar ke seene se barchhi nikal liya sahib az-zamaa'n6. Maula bayaa'n karein na shahadat imam kikaise luti thi dasht mein daulat imam kimaula bataein kya thi musibat imam kikaisi thi maula aakhri rukhsat imam kidaman ko thame roti wo sadmo se kaun thilipti wo zuljanaah ke qadmo se kaun thiya sahib az-zamaa'n7. Ya sahib az-zamaan baya'n kijiye safarteero'n se chhalni hogaya zahra ka jab pisartaari thi ghash hussain pe sar tha lahu mein tarrkaise gire the pusht e faras se zameen parawaaz di to hogi shahe mashreqain nedekha to hoga aapko mud kar hussain neya sahib az-zamaa'n8. Ya sahi az-zamaan guzarti thi sheh pe kyajab hurmula ki teer se nanha gala chhidamu se bajaye doodh ke taaza lahu bahabachha pidar ke haath mein jab munqalib huakya haal e sabr tha dil e zahra ke chayn kadekha to hoga aapne chehra hussain kaya sahib az-zamaa'n9. Kya fatema ka laal sare asr keh gayaummat ke waaste jo har ek zakhm seh gayachuma tha jo nabi ne gala khushk reh gayanana ka khoo'n nawase ke gardan se beh gayakaisa tha haal fatema ke noor e ayn kakhanjar se kat raha tha gala jab hussain kaya sahib az-zamaa'n10. Maula se sab hi kehna qamar ba dil e hazee'nki sakht kitni aal pe kufe ki sar zamee'nguzre the kaise shaam mein wo abid e hazee'npuchna, sab poochnajo bhi aale nabi pe guzri thi sab poochnamagar yaad rahe, khabar daar, khabar daarzainab pe guzri kya thi, kabhi puchna nahilarza hai zulfiqar to rukh par jalaal haiye ghairat e imam e zamaa'n ka sawaal haiYa hussain Ya hussain
Ya Sahib az-zamaan
Shuja rizvi · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.