Nauhagar zamee hai khoon ro raha hai Aasma'nMasnad e azaa bichii huwii hai barsare Jinaa'nDaastaan e panjatan pe rorahe hai do jahaa'nKaapti hai ye sadaein sunke qabr e MustafaYa Ali o ya Ali o ya Ali e MurtazaAasmaa'n se de raha hai ek munadi ye sadaaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza1) Baad e payambar wo zulm huwaaAal e Nabi ka koi na rahaaRassi se haider ka baandha galaaPehlu e Zehra bhi toda gayaaRoti thi binte Nabi yani hamraaz e Ali (2)Haaye ye zamaana humse kitni jaldi phir gayaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza2) Baandh ke haider Ko rassiyo seGaliyo me zaalim jab leke chaleNaala o shewan Zehra ne kiyeBaazu pe Shamsheer ke kund padeFatema par ye jafaa wo bhi pesh e Murtaza (2)Ek shikasta pehlu bibi par Sitam ki intehaaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza3) Dil me liye ghum Zehra margayiKhaana e haider soona kargayiFatema pesh e paigambar gayiPehlu shikasta hi lekar gayiHogaye tanha Ali dekhlijey ya Nabi (2)Dard e Dil bayaa'n karega kisse shah e laafataYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza4) Zainab o kulsoom Hasnain sabhiKartey hai mehsoos amma ki kamiKaisi museebat ye Aan padiRote hai tanhaiyo me AliSabr e ayyoobi kaha sabr e haideri kahaa (2)Qabr ka nishaan bhi bamasl hai chupa diyaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza5) Silsila e zulm phir bhi na rukaaQatl Ali Ko masjid me kiyaaKhoo'n se musalla rangeen huwaGhar me Khuda ke hai hashr bapaaChalgayi tegh e jafa zakhmi hai sher e qudaa (2)Kaun rotiya yateem bacho Ko khilaegaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza6) Zehr e dagha phir Shabbar Ko diyaaJiske asar se Dil tukde huwaDaagh e yateemi qasim Ko milaaTeero se lashe Ko Chalni KiyaHasan e sabzqabaa bhi na dunya me rahaa (2)Juz Husain panjatan me ab koi nahi bachaaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza7) Daste Sitam aur kuch aage badhaaSaamne aayi phir karbobalaShimr ka Khanjar bekas pe chalaaBehno ke aage sarr sheh ka kataaCheekhti thi fatema rehm kar Behr e Khuda (2)Kardiya sitamgaro ne panjatan ka KhatemaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza7) Laasho pe ghode daudaye GayeBibiyo ke Dil dehlaye GayeHaath rasan se bandhwaye GayePushto pey durrey barsaye GayeShab ki tarikiyo mein jiska taaboot utha (2)Uski betiya'n phirayi jaarahi hai beridaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza8) Nauha wo Naushad jo tu ne likhaShadma'n ye hai Zehra ki ataaQabr e Nabi aur shah e laafataZer e kafan khud Karte hai bukaaPeeto sarr Ahle azaa fatema dengii jazaaYe wo ghum hai Ahle aasmaan me bhi hai bapaaYa Ali o ya Ali o ya Ali e Murtaza
Ya ali yo murtaza
Shadman Raza · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.