Azadari MediaAzadari MediaGet the app

ya abbas, ya abbas

Nasir Zaidi · 2011

jab hawaon may nami mehsoos ki abbas ne,ehtiyatan saans rok li abbas nemauj-e-kausar sar uthakar dekhti hi reh gayi,itni unchayi par rakh di tashnagi abbas nesaja rakhi thi darya par ajab baarat pani ki,bahut karte thay ashrare yazidi baat pani kimagar darya pe pahunchay thokare maari chale aaye,batadi hazrat-e-abbas ne aukhaad pani kikate baazu chidi mashkeeza bachi reh gayi pyaasi,zameen pe khoon bankar hogayi barsaat pani kiya abbas, ya abbasjahan bhi pani-o-mask-o-alam ki baat chali,ali ke laal ke qadmo tale faraad chaliwafa-e-ishq-o-mohabbat ki kaayanat chali,dua-e-fatima zehra bhi saat saat chalialam ke dam se hai ab tak hayaat pani ki,jari ki jeet hui aur maath pani kiya abbas, ya abbaswo ek mashk jo kausar samayt kar nikli,labon pe apne samandar samayt kar niklitabassum-e-ali asghar samayt kar nikli,jo ek zarb se laskhar samayt kar nikliagar na kehti ye aab-e-hayaat pani ki,har ek nigaah se gir jaati zaat pani kiya abbas, ya abbassakina bibi ke sadkhe ali ke laal salaam,jari shaki asad-e-sher-e-zuljalaal salaamwafa ki aakhri hadke mahay kamaal salaam,nahi hai dono jahaan may teri misaal salaamtere kate hue baazu nijaat pani ki,tere badan ka pasina zakaat pani kiya abbas, ya abbashimaayat-e-shah-e-mazloom may panaah abbas,tabaat-o-jurrat-o-ghairat ki inteha abbasjanaab-e-zainab-e-bekas ka aasra abbas,lab-e-faraath fakadh tune ye likha abbashamari tashnalabi hai faraath pani ki,hayaat pyason ki thairi wafaath pani kiya abbas, ya abbasmeri hayaath ka samaan nasir-e-shabbir,badalta rehta hai jo kaayanat ki taqdeerfaraath-o-mashq-o-alam jiski hashr tak jaageer,mai aur ye meri tanzeem iske dar ke fakheerbahegi chasm-e-aza se faraath pani ki,chalegi majlis-o-matam may baat pani kiya abbas, ya abbas

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.