Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.Jo bhi sarwar ka azadar nazar aata hai.Kehta rizwan hai jannat se yahi Shaamo saher-2ha yahi khuld ka haqdaar nazar ata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.....Naukri jo koi shabbir ki kar leta hai-2Fir wo naukar kaha sardar nazar aata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai....Aun qaasim ho mohammad ho ali asghar ho-2Bachha bachha tera jarrar nazar aata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai....Ran me abbas ko dekha to ye boli Fauje-2Saniye haidar e karrar nazar ata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.....Talib e bayyate fasiq ne hai dekha jab jab-2Bas usey shah ka inkar nazar ata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.....Usko mil jati hai zahra ki duayen dekho-2Jo bhi ghazi ka alamdar nazar aata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai......Laao beemar ko abid ke shifakhane me-2Fir kaha dekho wo beemar nazar aata hai.Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.....Isliye rone ko bidat wo batata hai zaheer-2Ashke sarwar use mukhtar nazar aata haiWo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.......
Wo bashar sahib e kirdar nazar aata hai
Sayyed Sadiq Asghar Rizvi · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.