Jo paak teenat hai asl apni, amal se apne bata rahe haiwila ki mehfil saja rahe hai, safe aza ki bicha rahe haiKhuda ra samjho to sheikh sahib, tumhe jo hakim bana rahe haibitha ke tumko ali ki masnad pa, dar haqeeqat phasa rahe haiKare nabi o ali ki midhat, kaha kisi kam nasab ki qismatJo unki azmat ko jaante hai, wohi to gun unke gaa rahe haiBikhari, bhikshu, sawali, naukar, mirasi jo chahe humko kehlekisi ki parwaah ho kyu hame jab, hum unhi ka sadqa kha rahe haiYe behrobar mehruma ho anjum, unhi ke parto unhi ke jalweye aabshare ye saare jharne, unhi ke naghme suna rahe haiJo unke garde safar bane the, jo unke qadmo se mass hue thewo saare zarre sitare ban banke, arsh par jagmaga rahe haiKaleem bhi rashk kar rahe hai, sambhale hosho hawaas apnekaha kaha mazhar ul ajaeb, kamaal apne dikha rahe haiKabhi wo kehte hai qum be izni, kabhi wo kar dete hai isharaidhar palta rahe hai suraj, udhar wo murde jila rahe haiNuseriyo, shafa’I o wali o rafazi ka gila kare kyajanabe man aapke kamalaat, bhi to kafir bana rahe haiNuseri ka mas’ala hai nazuk, jabhi to hai ehtiyat lazimMu’amla wo nahi jo humko , janabe waez bata rahe haiAjeeb hairat se dekhte hai, ameen wahi jibraeel unkoke jis bulandi pa jaake meesum, ali ki midhat suna rahe haiRushedi hijri bhi hum nawa hai, nahi hai tanha janabe meesumjo lutf midhat ka jaante hai, wo daar par muskura rahe haiYahi banao, abhi banao, rasool ko khaas hukm e rabb haiGhadeer khum me jabhi mohd, ali ko maula bana rahe haiJo mustahaq tha ba hukme khaliq, use nabi ne wasi banayabataiye faeda hi kya hai, jo pecho taab aap kha rahe haiAlam jo khaiber me haq se paaya tha, humne aur ghair ne hamarejo ain se ham utha rahe hai, to wo alif se utha rahe haiNamaaz roze hi tul rahe the, jo aagai fatema kahi seHusain ke jitne matami the, wo dekho jannat me jaa rahe haiSiyaah kaar unka naam lewa, jo unko ho awaaz de raha haihuzoor dawar wo ehle mehshar, ke saamne mu chura rahe haiAgar aqeeda durust hai to, gunahgaaro ke saath hai woshafa’ate aasiyan se maula, kab apna daman chhuda rahe haiZiraar ho ya sawale bay’at, munafiqeen aaj tak na badlewo masjide bhi bana rahe hai, wo ab bhi darwaze dha rahe haiZahoor ki thi jinhe tamanna, safe wo apni durust karleHamesha jinko pukarte the, jo aane wale the aa rahe haiBilak rahe hai machal rahe hai, hazaro armaan apne dil meNa jaane kis raaste se apne, imaam tashreef laa rahe haiHai apne azmat se khoob waqif, hum unke maddaah aur shaerhum unki mehfil me jaa rahe hai, malaeka parr bicha rahe haiYe tifl abbas ibne haider, jise kahe fatema bhi betasamajhle azmat ko uski jiska, Husain jhoola jhula rahe haiye saqiye kausar ibne haider, Husain ibne ali hai inkona bhuliyo hurr jo tere lashkar ko, aaj paani pila rahe haiMalak bhi hairat se dam ba khu hai, falak bhi ghairat se takk raha haihasi khushi jaise hurr ko sarwar, gale se apne laga rahe haiHai narghae ashkiya me ab bhi, tumhare aaqa tumhare maulaSadae halmin ki aa rahi hai, Husain tumko bula rahe haiHusain ke naam par jiyenge, Husain ke naam par marengeBajae aansu lahu ka nazrana, deke sabko bata rahe haiLahad me aae jo sibte jafar, ke bole munkar nakeer bahamsawaal chhodo suno nai manqabat, jo ye kehke laa rahe hai
Wila ki mehfil
Shaheed Sibte Jafar · 2012
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.