Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Waqt-e rukhsat

Nadeem Sarwar · 2003

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Waqt-e rukhsat[Ya hussain] ×3Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna[Haye haye] ×2Karbala, karbala, karbala, ab imtihan-e sabr-e sarwar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaDoor tak jatay howay dekha kiay kartay hussain. Thukaray kha kha kay khud sambhla kiay kartay hussain Aiye ali akbar zara peechay palat kar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaMa kay armaano ki chadar ka amaama sar pe hain. Fatima sughra ki ankho ka ujala sar pe hain. Bigray ga ek pal may kitno ka muqaddar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaDosh par bikhree hovey zulfay ura ti thee hava. Bikhrey zulfo say nikalty ja rahi thee karbala. Maut ki jurrat nahi thi ankh bhar kar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaUth raha hai gir raha hai ek parda bar bar Umme laila ka ye khayma hai meray parwardigar Lash jab aiye to mar jaiyengi madar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnahaye maqtal ghutnio kay bal chala hai is qadar kehta hai awaz de mujhko meray noor-e-nazar kho gaye beenayi meri meray dil bhar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaAye hussain ibn-e ali Jao na akbar kay karib Zulm aisa hu gaya hai, tab la saktay nahi Kia gawara hai sina sinay kay andar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaImtiha hai burhay kandhoo ka jawan baitay ki lash Khu mai dubee kis tarhan daikhay gi ma baitay ki lash Is jaga awlad waloo khud ko rakh kar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaMar te dam akbar ko dar hai ma na ajaye kahi Bahraha hai khu meray sinay say rangin hai zamin Kehdo amma say mujhe yu na taraptay dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhnaBaba meri ma meray gham ko utha sakti nahi Neend aisey arahi hai, ma jaga sakti nahi Zakhm mera ma ki nazro say bacha kar dekhna[Haye haye] ×2Waqt-e- rukhsat bap ko baitay ka mor kar dekhna

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.