Uth ja mere Sajjad (a.s.)Haaye Sajjad (a.s.), Haaye Sajjad (a.s.), Haaye Sajjad (a.s.)Shaam-e-Ghareeban, jalte khaime, uthta dhuwanAun (a.s.) o Muhammad (a.s.) ki maa (s.a.)Aayi Sajjad (a.s.) ke khaime meinKaha shaana hila kar rote hueAabaad rahegi Karb-o-Bala ×2Chal Shaam karein aabaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Uth ja mere Sajjad (a.s.) — mera maan-jaya nahin aayaSun Zainab (s.a.) ki fariyaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Amma (s.a.) ka haath galay par tha, door se dekha tha main ne (haaye)Maqtal mein sookhi gardan par jab Shimr ne teerah waar kiyeWoh bhai (a.s.) mera… waayela… maara gaya pyasa… waayelaJis bhai (a.s.) par qurbaan hui ×2Pyaasi meri aulaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Khaimon mein hi jal jaayein na, khaimon se nikal jaayein baahir (haaye)Kya hukm hai tera Zainab (s.a.) ko, ek baar bata de tu uth karNa Qasim (a.s.) hai, na Asghar (a.s.) hai, Abbas (a.s.) hai aur na Akbar (a.s.) haiBas tera sahaara hai hum ko ×2Bhaiya Shabbir (a.s.) ke baad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Yeh Shaam-e-Ghareeban hai beta (a.s.), teri pehli shaam-e-imaamat ki (haaye)Teri salaari mein Shaam talak karna hai safar ban kar qaidiNa mahmil hai, na howdaj hai, na lashkar ki woh saj-daj haiJab haath bandhenge gardan seGhazi (a.s.) aayega yaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Be maqna o chadar, naaqa se humein jaana hai Sajjad (a.s.) jahan (haaye)Aye laal (a.s.) suno, kaise hoga Sadat (a.s.) ka isteqbaal wahanBazaar mein aane se pehle, rokenge humein darwazay peGaliyon ko sajaaya jaayega ×2Naye honge sitam ijaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Sajjad (a.s.) teri masoom behan (s.a.) zalim ke tamaachay khayegi (haaye)Maangega kaneezi mein haakim, darbaar mein jab woh jaayegaMar jaayegi durre kha kha kar, zindan mein usko dafnakarTujhe rona hai chalis baras ×2Na honge kabhi hum shaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Az Shaam, az Shaam, az Shaam suna aur aankhein kholein Abid (a.s.) ne (haaye)Zainab (s.a.) ne kaha, aye Zeeshan o Irfan sahaara dete hueMaqtal mein paday un laashon ka, chehlum karne un pyaason kaAayenge dobaara Karb-o-Bala ×2Jab honge hum aazaad — uth ja mere Sajjad (a.s.)Haaye Sajjad (a.s.)
Uth jaa mere sajjad
Irfan Haider · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.