Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Tabarra suno

Miscellaneous · 2024

1 ) Main tabbara hun wo mazloom ibadat main hunSeenae sabr py utri hue ayat main hunDaar pr hazrat e mesum ki khitabat main hunIs liye aaj bhi hr rukh sy salamat main hunMeri takhleeq hue dushman e zehra k liyeMot hun aaj bhi main bint e saqeefa k liye2 ) Haif sad haif k apno ny sataya mjhkoOr islah k parday main chupaya mujhkoMain tasadum hun ye keh keh k rulaya mjhkoMain ibadat tha magar aib bataya mujhkoNaam badnaam jahan sab ny kiya hy meraHaq prasto ny wahan sath diya hy mera3 ) khas bando py hi khaliq ki inayat main hunMain hi masjid hun musala hun ibadat main hunKhutba e bagh e fidak ki wo ibarat main hunJiski zehra hy azan uski iqamat main hunKhush nasab jitny hain afrad sabhi jnty hainMera mayar bilal e habashi janty hain4 ) chor kr mjhko musaly py jabin kuch bhi nhiIn namazo me agr me hi nhi kuch bhi nhiBughz mera hy to makky ki zamee kuch bhi nhiGar tabbara hi nhi hy to kahin kuch bhi nhiIshq e haider ko tabbary sy junoo milta hyMery hony si hi momin ko sukoo milta hy5 ) qulho Allah mein or surae yaseen mein hunJo hy khaliq ka pasandeeda usi deen main hunMe farishto ki duaon main hun ameen main hunTujhko maloom nhi hy k main talqeen main hunQabr main jaky ye jano gy tabarra kia hyMot k baad ye mano gy tabarra kia hy6 ) pooch rawi sy riwayat main tabarra kiun hyKalma e haq ki shahadat main tabarra kiun hyPooch ayat sy k ayat main tabbara kiun hyAsr e ashoor ziarat me tabbara kiun hyDushman e deen ko ye tana e abtar kia hyPooch quran sy ye surae kosar kia hy7 ) ye btao k aqeedy ko bachana hy gunnahKia fazail k samandar mai nahana hy gunnahDasta’n haq ki zamany ko sunana hy gunahKis sy naraz thin zahra ye batana hy gunnahAik aik zakhm ka badla to liya jaegaLakh rokogy tabbara to kiya jaega

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.