Sin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..21) ho kaise bayan ahle aza hale sakinaDil rota hai sun sun ke tadapta hai kalejaTarikh me dekhi na koi aisi yateemaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..22) ho lakhon Salam ahle aza tashnajigar parJo nake pe bandhi gai rassi se jakad karPadhta hai zamane ka imam aaj bhi nohaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..23) dhate hai laien zulm e sitam bacchi pe itneMe sochti hu zinda ye reh payegi kaiseHai khouf ke sadmo se na mar jaye yateemaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..24) dekhi nahi jati hai tamacho ki aziyatReh reh ke badal jati hai rukhsaro ki rangatIs tarah se zalim ne lagaya hai tamachaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..25) nanha sa gala kas ke rasan me to bandha haiKurte ka yateema ke ye daaman bhi jala haiKano se lahu ab bhi hai reh reh ke tapaktaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..26) zainab ne phir ek baar ye ghazi ko sada diHai sakht masayeb me giraftar bhati jiHalat to yateema ki zara dekh lo bhaiyaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..27) mushkil se bhut saans jo ghut ghut ke hai letiNanha sa gala dukhta hai aawaz hai aatiAb jayada dino reh nhi payegi ye zindaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..28) rone pe hai pabandi bhala kis tarah royeJakda hai jo rassi me gala kis tarah soyeSoti hai to nanha sa gala or hai dukhtaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..29) likhoge "zafar" kya kya sakina ki musibatNako se safar karne se yu ho gyi haalatGurbat bhi raah e sham me ye padhti thi nohaSin kum hai sakina ke masayeb hai zayada ..2
Sin Kam Hai Sakina Ke Masaib Hain Zyada
Farhan Rizvi · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.