Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Shimr Jab Zor Se Mara Tamacha Baba

Asmee Kanodari · 2020

Shimr jab zor se maara hai tamacha baba...maine Ghazi ko kabhi tumko pukara baba1.Har kadam Rone pe durroN se hai maara baba..Mujhko Dadi ki tarah dekho sataya baba...2.Raah me gir gayi naake se to be rehmo neOont ki pusht pe rassi se hai baandha baba3.Hai musalsal ye tamacho ka asar to dekho..4 salo me hi lagti hu zaeefa baba...4.Sar e bazaar kaneezi me mijhey Manga gayaBan gaya aapki beti ka tamasha baba...5.Khaich ker kaano se dur le gya qatil teraPyaar se eid ke din jo tha pinhaya baba...6.Baba accha hua sughra ko nahi laye they..Warna is zulm se Mar jati mareeza baba..7.Raah me Jab kabhi soyi hu to be dardi seBaraha mujhko chubaya gaya naiza baba...8.Pyaas se jism me haddi bhi alag hoti hai..Marne wali hu muje lene ko Aana baba..9.Itne maare hai muje durre ke kya batlawo..PasliyaN Zakhmi hain aur dard hai jyada baba10.Meri zulfo se pakad kar muje kincha pehle...Baad me galoN pe mara hai tamacha baba...11.Naam mitti pe Tera likhti hai aksar shab meFir usi khaak pe Soti hai sakina baba...12.Ali o Asmee" sada aati hai zindano se..Qaid e tanhayi se chhudvado ay baba baba..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.