Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Shikasta pasliya'n hai

Shabih Abbas Jafri · 2017

shikasta pasliya'n hai sayyeda ki"Lahu roti hain aankhein murtaza ki"1. Hai waqt e inteqal e izzatullah..farishto'n ne falak per yeh nida ki2. Chala ghar se janaza fatema ka..khudayi kaanp uththii hai khuda ki3. Hai mushkil ho gayi pehchan na bhi..gham e zahra me surat mujtaba ki4. Behen shabbir ki yu'n ro padhi hai..nazar aati hai manzil karbala ki5. Mere maula na kuch khane ko kehna..ALI se murtajiz ne ilteja ki.6. Khadija maryam o saara o hawwa..saro'n se hai rida sabne juda ki7. Musalmano ke sar hai khoon e zahradil-e-ahmed pe yeh kaisi  jafa ki8. Ho nasl e badd pe lanat ta qayamat..yeh fizza ne khuda se badd dua ki9. Huye harmain bhi nauhakuna aur..saf-e-matam saji hai ambiya ki.10. WILAYAT ki wakalat karte karte..chali duniya se beti mustafa ki11. Nazar tarsegi iss farsh e aza ko..shab-e-aakhir hai yeh fasl-e-aza ki12. Jinhone sayyeda ka dar jalaya.."SHABIH" lanat ho unn par qibriya ki

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.