Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sheh se ali akbar ka janaza na uthega

Imran Mehdi · 2020

HAAYE AKBAR HAAYE AKBAR...(2)Sheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)Piree me jawaa'n laal ka..(2)lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)1) Qasim ko sada dijiye imdad ko aayeAbbas ko dariya ki tarai se bulayeTuti hai kamar noore nazar uth nahi saktaHar bar uthate hai magar uth nahi saktaPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)2) Sunte hai k dil thaam ke maa baith gayi haiAkbar k kaleje me sina baith gayi haiRukti hui saansein hai labo pe ruki jaa'n haiSeene se lahoo akbare mehroo k rawaa'n haiPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)3) Dar pe hai bahot der se ghabraye na zainabSar peet ke khaima se nikal aaye na zainabZainab ke to jeene ka sahara hai ye akbarFarzando se apne unhe ye pyara hai akbarPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)4) Ye husn ye nana ki shabahat na milegiShabbir ko ye chaand si surat na milegiUthta nahi laila ki nishani ka janazaHai khaak pe ahmed ki jawani ka janazaPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)5) Gharwalo ki hai aankh ka taara mere maulaZakhmi hai bahot gesuo wala mere maulaPhal barchi ka akbar ke jo seene me gada haiBe jaan dulara tera reri pe pada haiPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)6) Kis tarah se ghar tak inhe le jaenge hazratChalne me qadam aapke tharraenge hazratJab lash na uth paegi humshakle nabi kiYaad aaegi hazrat ko alamdare jari kiPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)7) Is zakhm ko seene ke chhupa lijiye aaqaLakar koi chadar hi udhaa dijiye aqaaDewdi pe jawaa'n sher ka lasha jo pada haiKhaimo me "RAZA" matame akbar ki sada haiPiree me jawaa'n laal ka lasha na uthegaSheh se ali akbar ka janaza na uthega..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.