Dushman ko bhi maloom tha Sarwar ka jahan hai…Hum shakl-e-Payambar hai ye Shabbir ki jaan haiAapas mein kar rahe the sitamgar ye mashwaraSarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doMarna hai is jawan ka marna Hussain kaSarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doKaante pare hain pyaas se iski zabaan parLekin taras na khaiyo Sarwar ki jaan parPeechhe se chhup ke waar karo is jawan parHoga ye waar Muttalabi khandan parBach kar na jaane paaye ye tasveer-e-Mustafa..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doAage barho Rasool ki kheti ujaad doNaiza jawan laal ke seene mein gaar doZahra ke aur Ali ke kaleje ko phaad doJaldi karo Hussain ki saansein ukhaar doMar jaayenge Hussain agar ye juda hua..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doSabr o Raza ki had se guzar jaayenge HussainLekin pisar ka daagh na seh paayenge HussainAisa jigar kahaan se bhala laayenge HussainAkbar ki laash dekh ke mar jaayenge HussainUn ko shikast dene ka hai ek raasta..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doHumshakl-e-Mustafa hai, niraala hai ye jawanYe bhi rahe khayaal ke aala hai ye jawanZahra ke poore ghar ka ujala hai ye jawanBint-e-Ali ki god ka paala hai ye jawanIs naujawan mein hai basa dil Hussain ka..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doAthaara saal paal ke jis ko jawan kiyaWoh dilbar-e-Hussain hai humshakl-e-MustafaEk baap ke liye hai ye sadma bohat baraBete ka sehra dekh na paayen Shah-e-HudaInaam tum Yazid se lena bohat bara..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doChaaron taraf se gher ke maaro ise sinaDil tak jo jaaye tor ke Akbar ki pasliyanDekhen jo zakhm Shah to nikle badan se jaanHo jaayen iss diyaar mein be-aas be-amaanAkbar ke baad jee nahin sakte Shah-e-Huda..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doYawar koi nahin hai woh kis ko bulaayengeTanha Hussain laasha-e-Akbar pe aayengeJab apne naujawan ko zinda na paayengeKhud maut ko Hussain gale se lagaayengeKhanjar ko saunp denge woh sookha hua gala..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doSarwar ko ek pal na sukoon aur qaraar doIss sakht imtihaan se Sheh ko guzaar doPusht-e-faras se khaak pe iss ko utaar doBarchhi uthao seena-e-Akbar pe maar doTukde kaleja hoga isi gham se dekhna..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doMaqtal ki simt daurte jaate rahe HussainAankhon se khoon ke ashk bahaate rahe HussainGirte the jab to khud ko uthaate rahe HussainRo ro ke ye sada bhi lagaate rahe HussainAbbas fauj-e-Shaam ka naara suno zara..Sarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doWaiz bhi ashkbaar hai, Mesum bhi noha garMazhar bhi ro raha hai Hussain-e-Ghareeb parSun kar bayan ye rota hai Surani har basharBaithe laeen chain se Akbar ko maar karLekin fiza mein goonj rahi thi yahi sadaSarwar ko maarna hai to Akbar ko maar doMesum Abbas Nohay 2026
Sarwar Ko Marna Hai To Akbar Ko Mar Do | Mesum Abbas | Noha 2026
Meesum Abbas · Poet: Waiz Sultanpuri (India) , Ali Raza Surani (India) · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.