Azadari MediaAzadari MediaGet the app

salaam maadare hussain

Irfan Haider · 2012

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
ya fatema ya taherakhayrun nisa ya umme abihasalaam maadare hussainjabeen ne waqt pe likha hai bas yehimaa ho to maadare hussain sihussain paal ke jis ne diya zamaane kojabeen ne waqt pe likha bas yahimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainye baat jaa ke kisi maa ke dil se puche koyitum apne laal ko maqtal me dekh paawogikaleja thaam ke wo maa kahegi sirf yehiis imtehaan se guzri thi bas wahimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainhussain pushte faras se gire jo reti parsarhaane aagayi dil thaame maadare muztarlaraz rahi thi khudaayi ye dekh ke manzarhar ek mauje alqamaa ye keh uthimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainjo dekha maa ne ke beta shadeed hai zakhmito apne baalon se maqtal ko saaf karne lagitarap ke ruhe khadija ye ban me kahti thiye maa to sabr ki had se guzar gayimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainlaeen aaya jo teghe sitam sambhaale huwesare hussain ko zaanu pe rakh liya maa nekhud apne laal ke zakhmo se teer bhi khentchelabe rasool pe faryaad thi yahimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussaingire the pyaar ke aansu pisar ke zakhmo parhussain zibha huwe fatema ke haathon parye bain aaye the us dam ali ke hoton parzameene karbobala keh ke ro parimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainye hi thi mazharo irfan tarbiyat maa kijo karbala ke bayaabaan me rang laayi thikhiraaj pesh kiya sayyada ko rab ne bhifizaa me gunjegi aawaaz ab yehimaa ho to maadare hussain sisalaam maadare hussainhussain ya hussainkiya hussain ne reti pe shukr ka sajdasubhaana rabbi al aala labe hussain pe thaajeeb dard ka manzar tha haay waa wailasawaar pusht pe qaatil tha saamne zahranazar ke saamne bete pe chal gayaa khanjartarap ke reh gayi jalti zameen par maadarphir is ke baad qayaamat ki wo ghari aayighareeb bete ki mayyat bhi paayemaal huwidare khayaam pe zainab ye bain karti thimere hussain ko is zulm se bachaaye koyihussain hogaye paamaal kuch karo ammaapisar ke tukre ridaa me samet lo ammaajo laashen kar chuke paamaal ahle zulm tamaamharam the nauha kunaa chaar samt tha kohraamutha kar mashale haathon me aaya lashkare shaamridaayen tcheen ke saadaat ki jalaaye khayaamghame hussain ho phir khayaam ka pahraahar ek maqaam pe zainab ke saath thi zahra

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.