Haaye zindaan jabke dukhtare shabbir mar gayiBaazu hilake baanue nawshaad ne kahabibi padar ke sar se uthao to sar zarabaate abhi to karti thi aasu baha bahasaakit hai nabzo gaaye gazab sard dasto paamuh dekhte hi zist ka naksha badal gayakis waqt saas ruk gayi kab dam nikal gayaMaa sakina ka shaana hilaati rahi..Maut bachi ko loree sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi1) Ab na kholay gi aankhain yateema kabhiJaanti hai Sakina ko neendh aagayiPhir bhi taqdeer ko aazmati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi2) Be yateemi ki hai kaifiyat kis kadarSochti hai kai baaqi hai jaa se magarZindagi apna daman churaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi3) Paani layai kahan sai woh is kai liyaiTashna lab hai Sakina khabar hai usaiPyaas haunton pai aanso giraati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi4) Apni gaudi main mayat uthayai huwaiMaujazai ki umeedain lagayai huwaiSyedda ki kahani sunaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi5) Ro rahi thi zameen ro raha tha falaqWaqt-e-talkeen sai waqt-e-tadfeen takMinnatain ker kai us ko uthaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi6) Thi takallum woh ulfat ki kaisai ghariJab andhairai main bachi ki mayyat uthiQabar nanhi si Zainab banaati rahi, maa Sakina ka shaana hilaati rahi
Sakina ka shaana
Shahid Baltistani · 2008
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.