Azadari MediaAzadari MediaGet the app

SAJJAD SAKINA KI MAYYATH KO UTAHTHE HAIN

ARIF RAZA · 2020

Kis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hogaAur khoon bhara kurta woh jism se chipka thaKya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) kaYeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainBahna bahna kah kar, seene se lagate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainNazkeed Sakina (sa) kay Sajjad e (as) hazee’n aayeChehre peh nazar padte he lab peh yahi layeIs aalam e ghurbat main kya kya hain sitam dhayeSub bibiyo’n ko Abid (as), nazdeek bulate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainDoobi huyi nabze’n hain aur jism bhi thanda haiAur maut ka bachchi kay mathe peh paseena haiNeed aayi use kaise takiya na bichona haiSajjad e (as) hazee’n lab per, faryad yeh late hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainWoh sham e ghareeba’n se soyi thi kaha’n bachchiLagta hai yahi hum ko shayad use need aayiZinda’n kay andhere se itni thi woh ghabrayiAye meri bahen uththo, Sajjad (as) jagate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainUf pyas ki shiddat se yeh haal e Sakina (sa) thaLab sookhe huway uske murjhaya hua chehraKamsin thi magar us par aalam tha zaeefi kaYeh marsiya bachchi ka, Sajjad (as) sunate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainkis tarah bandhe hatho’n se ghusl diya hogaAur khoon bhara kurta woh jism se chipka thaKya haal hua hoga yeh dekh kay Abid (as) kaYeh sonch kay aankho’n main, aansu chale aate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainZainab (sa) ne kaha ro kar deedar zara kar lu’nKulsoom (sa) bhi aajao aur tum bhi rabab aaoAur dekh lo jee bhar kay ik baar Sakina (sa) koAbid (as) abhi bachchi ko, turbat main chipate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hainChalke huway hain aansu kohram hai ik barpaKano se suna jisne bhi haal Sakina (sa) kaBibi kay masyaeb main hai dard bhara itnaAijaz ka yeh nauha, arif jo sunate hainSajjad (as) Sakina (sa) ki mayyat ko uthate hain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.