Azadari MediaAzadari MediaGet the app

sahibe zulfiqar al madaday

Sachey Bhai · 2008

Sahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayRan main Shabbir aaj hain tanhaDasht main lut gaya bhara kunbaaAshqiya hain kiyay hoay narghaaHai sitam ka hisaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayKhaak per hai Sawar e dosh e NabiTashna lab hain Hussain ibne AliKund khanjar hai aur shimr shaqiHai haram ki pukaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayRaah e Kufa hai Shaam ka bazaarHain rasan basta Zainab e GhamkhaarSar khulay Bibian hain aur darbarSakht hai rehguzaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayBan kay qaidi Imaam jaaain gayBaidiaan pehnay Shaam jaain gaySar e darbaar e aam jaaain gayHongay sab sharamsaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayAap Maula e kull hain Shah e NajafHaq ne bakhsha hai aap ko yeh sharafShah hain tanha adu hain charon tarafBehr e Parwardigaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayAb na Abbas hain na Akbar hainTaptay maidaan main khulay sar hainBaysahara hain aur bay ghar hainAai ghareebon kay yaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayAap Mushkil Kusha zamanay kayAap Haajat Rawa zamanay kayAap Khairul Wara zamanay kaySahib e Ikhtiaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madadayTujh ko kis baat ka hai gham Mehshar*Sar pay Ghazi ka hai alam Mehshar*Bas yeh keh kar utha qadam Mehshar*Hashar kay Taajdaar al madadaySahib e Zulfiqar al madadayShah e Duldul sawar al madaday

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.