Roze pe mustafa ke udaasi si chayi haikunbe ko khoke zainab e nashaad aayi haiarey, rokar pukari nana mai, faryaad laayi humai chhod kar hussain ko jungle mein aayi hu{Roze pe mustafa ke udaasi si chayi haikunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai}..(2)1. Nana ajeeb sanaye humpar guzar gayeranjo alam ne gher liya hum jidhar gayenana khuda ke ghar me na humko amaa'n milibhai ne sheher chhod ke jungle ki raah li2. Nana hamare ghar ka sab asbaab lut gayanana hamare sar pe na baaqi rahi ridanana hazaar tarha jafa ki la'eeno nekhaimo'n me haaye aag laga di la'eeno ne3. Nana shaheed hogaye bhai ke jaa nesarek ek kar ke mar gaye ashaab zee weqaarnana bala ke bann me qayamat ka rann padabhai se bhai, baap se beta bichad gaya4. Nana zameen karbobala laal hogayiqasim ki laash ghodo'n se pamaal hogayinana katake shaano ko abbas margayeghurbat me bhaijaan ko be aas kar gaye5. Nana aseer bara the aur ek thi rasanbandhe gaye the misle gunahgaar e khastatannana hum apne haal pe rote the baar baarnana hamarae haal pe haste the badd sheyaar6. Itne me ek shaami ne nana ghazab kiyasaydani ko kaneezi me usne talab kiyahoti thi laakh zillate hum dekhte rahehas has ke taaziyane sitam jhelte rahe7. Nana tabaah hoke hum aaye hai shaam seek daaghe no sakina ka laaye hai shaam seab tak hai neel rassi ke shaano ko dekhlonana hamare tann pe nishano ko dekhlo8. Zainab jo roke karti thi qabr e nabi pe bayntharra raha tha roza e sultan e mashraqaynbus khatm kar nisaar ye ghum naak daastaanroye hai is alam mein zamee'n aur aasmaa'n
Roze pe mustafa ke
Ali Shanawar and Ali Jee · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.