Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ro ro ke sakina ne kaha

Sayed Shabrez · 2014

Ro ro ke sakina ne kahan aye phupi ammaKab aayenge dariya se chacha aye phuphi amma1. Kyu shimre layeen ne mere maare hai tamacheKyu jakda gala rassi me gohar mere chineKya aisi Hui mujhse khataaye phuphi amma2. Kyu Tukde hua barchi se Akbar ka kalejaKyu ghode se rondha gaya nausha ha ka laashaKya chid gaya asgar ka galaaye phuphi amma3. Hai bara gale ek rasan haye qayamatMain baithu to hoti hai buzurgo ko aziyatUthti hu to ghutta hai galaaye phuphi amma4. Kyu aapki chini hai musalmano ne chadarKyu jakda hai rassi me bimar baradarKya humse koi jurm huaaye phuphi amma5. Begoro kafan Kyu hai mere baba ka laashaIs dasht me Kya koi kafan bhi nahi detaHai inka koi Aur khudaAye phuphi amma6. Kya mujhko na mil paayega ab baap ka seenaAb Raat ko soyegi kahan jaake sakinaMar jaungi main ab ba khudaAye phuphi amma7. Mil jaaye agar qaide sitamgar se rehaiSugra se yeh keh dena aye ghum ki sataiBehna ne bohat Yaad KiyaAye phuphi amma8. Kyu pusht pe bimar ke maare gaye durreKyu rohnde gaye ghodo ki tapo se yeh laasheKhamosh hai Kyu karbobalaAye phuphi amma9. Aalamo masayab se chura Kyu nahi deteFarzand ko aap iske shifa Kyu nahi deteHai kabse pareshan RazaAye phuphi amma

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.