Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Qur'an ka lahoo

Hashmi Sisters · 2017

Hasnain ne ye marsiya behno ko sunayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahuunneeswi ramzaan ye kya hashr dikhayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahuHasnain ne ye marsiya behno ko sunayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu1. Ye wo lahu hai nana ne apna kaha jiseta hashr hai isi se imamat ke silsilekarbal mein maa padhengi isi khoo'n ke marsiyekuch rehem baba jaan pe zalim ko na aayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu2. Duniya se guzarne ko hai mazloomo ka waliab kisko sawaal apna sunayega sawalimimbar hua khamosh to mehraab hai khaliek kohe masaeb bin e muljim ne girayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu3. Karti thi fugha'n zainab o kulsoom tadap karaye bhai bechayn hai dil seene ke andarzakhme gham e madar abhi taaza tha jigar parek aur naya zakhm kaleje pe lagayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu4. Roti thi kabhi choom ke abbas ke baazuyaad aate kabhi zainab o kulsoom ke gesukehte the kabhi shaam beh jaate the aansubaba ne kabhi jeeteji aaraam na payabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu5. Zainab ne kaha ungliya'n ko nabz pe rakhkarab phayl chuka zeher e dagha aaye baradarpurhaul hai ekkiswi(21) shab haye muqaddarsajde mein sare paak pe kyu zakhm lagayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu6. Matam ko nigar aagaye hoorein bhi jina sekaabe ki zamee'n hilti thi faryad o fugha'n sekohram bapa hogaya nauhe ke baya'n sejab hashmi behno ne ye majlis mein sunayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahuHasnain ne ye marsiya behno ko sunayabehta hai janamaaz pe qur'an ka lahu

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.