Husain walo suno yeh hai qatl gahe HussainTadap raha tha yehi par Ali ke dil ka chaynIsi maqam pe Zehra yeh kar rahi thi baynNa qatl kar meri godi mein mera Noor-e-AinYahan talak suno kaise Hussain aaya thaLaee'n khainch ke baalo'n se usko laaya thaTamaacha maar ke seene pe jab sawar huaTadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kahaUtar ja seene se zalim, na zulm kar aisaHai mere seene pe bas haqq meri Sakina kaYahan pe aayi to mar jaayegi woh ro ro karSakina dekh na le tujhko mere seene parHaye,Kabhi badan pe woh khanjar se waar karta thaKabhi Hussain ke zakhmo'n pe khaak daalta thaPhir apne paon se zakhmo'n ko jab masalta thaAli ka beta wahan baar baar marta thaGhareeb-e-Zahra jab Abbas ko pukarta thaLaeen daarhi pakad kar tamaacha maarta thaIsi maqam se sattar qadam thi door bahanPukarti rahi, Na kaat Shimr sookha dahanTu jaanta hai bohot door hai hamara watanMain leke aoongi uske liye kaha'n se kafan?Waha'n Hasan ko mile do kafan, mein bhooli nahiYaha'n Hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahiZabaan khushk hai, zakhmi hai iski peshaaniJawaan betay ke qaatil ne maari hai barchhiHazaaron zakhm yeh kha kar gira hai thak ke abhiHawa hai garm, zameen tap rahi hai maqtal kiPila de paani, Mohammad ka yeh nawasa haiHai munh khula hua, na jaane kitna pyaasa haiAye rone walon, yeh dil thaam kar suno manzarChali chhuri to rakha haath maa ne ro ro karGala samajh ke woh karta tha waar gin ke magarHaan zakhm aate rahe Fatima ke haatho'n parHussain kehte the, "Amma hata lo haath amma""Gale pe chalne do khanjar, bacha lo haath amma"Tadapte reh gaye maqtal mein dono maa-beteGale pe Shah ke zalim ne tera(13) waar kiyeBayaan haal ho Zeeshan aur Raza kaiseAbhi talak to behen uth rahi thi gir gir keSar-e-Hussain kata dekh na saki ZainabZameen pe aise giri jaise mar gayi ZainabZameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab
Qatl gah e Imam hussain
Syed Raza Abbas Zaidi · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.