Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Qaid khana moosa-e-kazim ka

Farhan · 2026

Haye Imam Kazim (a) ImamHaye Imam qaidi ImamBaghdad ka qaidi pardesi Maula (a)O mera qaidi Maula (a)Qaid khana Musa-e-Kazim (a) ka maqtal ban gayaBaap ki mayyat uthaane aaiye Maula Raza (a)Haye Musa-e-Kazim (a)Ho salaam us par jise zindaan mein maut aa gayiHaath ki zanjeer haaye gosht jiska kha gayiBeh raha hai jiske zakhmon se lahu, wa-ghurbataQaid bhi aisi jahan seedhi na ho paaye kamarKyun na woh aansu bahaate haalat-e-Sajjad (a) parHaye yaad aata tha jab bhi tauq aur zakhmi galaJaake yeh Masooma-e-Qum (s) ko koi de de khabarAb nahin aayenge Baba (a) phir Madine laut karAaj se Baba (a) ka apne dekhna mat raastaBetiyon se haaye jo mil na saka chaudah barasDekhta rehta tha Yathrib ki taraf woh baap basBetiyon ko yaad karke qaid mein rota rahaGhurbaat-e-Aal-e-Muhammad (saw) par karo maatam bapaQaid khaane se uthega yeh janaza doosraWoh jo khaati thi tamaanche us Sakina (a) ki tarahZehar se maara gaya hai phir se Zahra (s) ka pisarHaath pehlu par rakhay aayi hain turbat chhor karBaithin mayyat ke sarhaane ro rahi hain Fatima (s)Aaj maatam hai bapa us be-watan ki yaad meinHaye jo sab se zyada zakhmi tha Baghdad meinIs liye Farhaan roya hai, qalam Zeeshan ka

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.