Poochta hay tum say ye dasht-e-karbala, Muhammad kay kalma go tumhen kya mila1. [Nabi zadian ho gayi darbadar tumhen kya mila, musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila] ×2Hataaey lab-e-alqama say khayaam-e-shah-e-karbala,muhammad kay pyarey nawasey ko tum ney sitam kyoon kiya[usay to mila jam-e-kosar magar tumhen kya mila] ×22. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaGulistan-e-zehra kay ghunchey bhi be aab murjhagayi,huwe dil bhi veeran maaon ki godi say gul kya gaya[kisi shaq say gul koyi tor kar tumhen kya mila] ×23. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaWoh kaisa qyamat ka manzar tha roti theen jab sayeda,jo kehti theen ae baba jan mera shabbir mara gaya[sawal apni ummat say poocho magar tumhen kya mila] ×24. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaTamachey bhi marey sakina kay kanon say cheeney gohar,andherey main woh dhondti reh gayi apney baba ka sar[woh masoom bachi huwi be padar tumhen kya mila] ×25. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaBadan un shaheedon kay ghoron say pamal tum nay kiye,bujhaaey hain tum nay sitam say muhammad kay ghar qaydiyee[andheron main dooba muhammad ka ghar tumhen kya mila] ×26. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaKahan aal-e-ahmed kahan sham kay sangdil rastey,khuda or nabi kay haram day rahey they tumhain wastey[woh shahzadian ho gayi darbadar tumhen kya mila] ×27. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaMusalmano tum they tamashai theen sar khuley bibian,woh chehrey jinhen dekh paya na tha aaj tak aasman[khuley sar kiya bibion nay safar tumhen kya mila] ×28. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaBataao musalmano kyoon tum nay zainab ko beghar kiya,bohat khoob tum nay muhammad ko ajr-e-risalat diya[shuda kar kay shabbir ka tan say sar tumhen kya mila] ×29. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaZara yeh to socho kay insaniat ka taqaza hay kya,jo hain ghair muslim woh aal-e-muhammad say hain aashna[koi tum say poochhey yeh aakey agar tumhen kya mila] ×210. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaKya khoon say tum ney rangeen dasht-e-bala is tarha,bahaya lahoo tum ney woh jo ragon main muhammad ki tha[sajaaey shaheedon kay nezon pey sar tumhen kya mila] ×211. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaWo sajjad jis ney saha sham main be ridayi ka gham,raqam tazianon nay ki pusht pay dastan-e-sitam[baha us ki aankhon say khoon-e-jigar tumhen kya mila] ×212. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaShabih-e-nabi woh jawan jis ko mari thi tum nay sinan,fughan us kay lashey pay yeh kah kay karti hay majboor maan[kiya meray akbar kay tukrey jigar tumhen kya mila] ×213. Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia milaWoh sham-e-ghariban woh charon taraf maut ka ik saman,woh be aas sayyedanian aur khaymon say uthta dhoowan[unhain kar kay be aas or noha gar tumhen kya mila] ×214. Musalmano zehra ka ghar . . . .Bandhi aas bachon ki pani jo leney gayaa tha jari,chaley teer gazi kay bazoo katey chhid gai mashk bhi[bataao kay pyasoon ka dil tor kar tumhen kya mila] ×2Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhen kia mila
Musalmano zehra ka ghar loot kar tumhe kya mila
Safdar Abbas · 2003
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.