Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Khoon rawan kanon se rehta hai azeeyath ke sababNeend aati nahi rassi ki azeeyath ke sababAao aakar mujhe seene pe sulalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Kitna tareek pata hai yeh bayan kaise karunSaqt pabandi hai rone pe fugaan kaise karunKhaaq pe baithi hun hun godi may uthalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Mai hun khamosh mere ashq sazaa dete hainAah karti hun to jallad saza dete hainMujhko is gham e musibath se nikalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Waqt e mushkil hai agar ab bhi nahi aaogeBaad may aaye toh zinda na mujhe paaogeTohkarein khati hun girti hun sambhalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Aisa din tha hai ke amma se mulaqath nahiBolti rehti hun khudsar ka koi baaqi nahiKuch toh bolo meri faryaad na taalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Imtehan shimr e layein leta hai chahath ka meriDekho phailati hai daaman ko tumhari betiApni chahath meri aagosh me dalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)Ashq rehaan me aashiq ke bahay jaate hainLagta hai abid e beemar ye farmate hainApni rooti hui beti ko manalo babaMujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (3)
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba
Rehan · 2006
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.