jab riha sham ke zindan se hue ahle haramkya khushi hoti dubala hua sadaat ka ghamjisko armane rihaai tha hui wo bedamek nanhi si lehad par tha musalsal matamsunke faryad-o-fughan saans ruki jaati thiqabr se bali sakina ki sada aati thiwatan jaane walon mujhe bhi watan le chalomujhe bhi watan le chalomai kaise rahungi yahan paryahan hai bhala kaun meramujhe bhi watan le chalo....reha hoke ghar jaane walon, mujhe bhi kahin par bitha loshaheedo ke sar hai jahan par, mujhe bhi wahin par suladomai baba ke sar se lipat kar, safar kaat-lungi ye saaramujhe bhi watan le chalo....na yun chor kar jao amma, mujhe shamiyon ke sahareyateemi ki maari hui ko, sataya bahot zaalimo nebahot khauf aata hai mujhko, tumhe waasta sayyeda kamujhe bhi watan le chalo....suna hai ke wapas milay hai, tumhein shimr se mere gowharbhala kya karoge tum unka, agar rehgayi mai yahan parinhi bhi amaanat samajh kar, ya dafna do zindan may yamujhe bhi watan le chalo....jo pahunchay madina to amma, phir raqte musibat na aayesina ur akbar ki baatein, sunane ki naubat na aayemeri laash ko dekh kar hi, samajh legi har baat sugramujhe bhi watan le chalo....yehi soch kar zayre turbat, tadapta hai dukhiya ka laashamujhe shimr ke shehr may ab, hamesha hi rehna padegadhadakta nahi phir bhi amma, ye dil kaamp jaata hai meramujhe bhi watan le chalo....sare shahe deen kuch to bolo, sifarish karo kuch hamarikhaza aagayi hai to phir kya, mai beti hoo baba tumharina inkaar kar payengi wo, phupi se zara kehdo babamujhe bhi watan le chalo....ye haalat thi har ek qadam par, madine ke raste may akbargiri thi jahan par sakina, tamache lage thay jahan parwahan khaak se qaidiyo ko, sadayein ye aati thi har jamujhe bhi watan le chalo...
Muje Bhi Watan le Chalo
Mir Hasan Mir · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.