Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mil Nahi Sakta Dar E Hyder Se Behtar Doosra

Gaazi Abbas Zainabi · 2020

Ho na paayega kabhi kaabey mey phir darr doosraAa nahi sakta jahaa' mey koi hyder doosraMaalik e kaaba ki khaatir ye hai rabb ka ehtemaamMaujzey se dekhlo hoga nayaa darr doosraKoi chakki peesta hai koi darzi hai banaaIs jagaah har kaam ka hota hai naukar doosraYa Ali imdaad kehkar my bulaaloonga unheyTu bulaa kisi aur ko naara lagaakar doosraHaa Ali ke aal mey Yousuf ke maalik hai kayiiPar banaaya hii nahi khudrat Ney akbar doosraHyder e karrar ka saani to mil naa paayegaLaakey dikhlaado zaraa tum misl e qambar doosraKehrahey hai mustafa ye baat khud karkey salaamMil nahi sakta darr e hyder se behtar doosraMarziya khairunnisa siddeeqa kehtey hai jiseyUska hyder ke siwaa hoga na Hamsar doosraEak Ney pathar pey parcham gaad daala Jung meyParcham e Haqq gaad daala alqama par doosraChunliya hai Sheikh Ney auro'n ko rehbar kaum kaLaa nahi paaya Magar wo khum ka mimbar doosraMaalik e ashtar bhi hairat se yu taktey hai kiseyKaun aisey lad rahaa hai Rann mey hyder doosraKardiya aagaaz sheh Ney Jung ye kehtey huweyAb na aayega koi hurr e dilaawar doosraSheh Ko lagtey they ye dono Murtaza' o Mustafa'Eak Abbas e dilaawar aur akbar doosraRaasta dedo Ali ke sher ko boley adooYe bahaadeyga wagar na khu'n ka saagar doosraMargaye saarey adoo meri hasii ke waar seBoley asgar, hurmala.. tuu bhej Lashkar doosraManqabat likhta rahaa aal e nabi ki jab kabhiNaam par merey banaa firdaus mey ghar doosraDekh kar aaya hai "Gaazi" jannat e karbobalaAb samaata hii nahi aankho'n mey Manzar doosra

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.