Aqd ummul banee'n se Ali ne kiyajiske khatir wo shere jinaa aagayabol uthe Murtaza ye to Abbas haimere Shabbir ka qadrada'n aagayaKhush hai Hasnain o Ummul baneen o Alikhuld se Fatima ne bhi di tehniyatUmme kulsoom o Zainab huwi sajda rezunke sar par ek aur sayebaa'n aagayaWarise Hamza o Jafar o Murtuzata qayamat alamdaar e fauj e khudaazm o zabt o shaja'at, ita'at wafakhidmat o isteqamat nishaa'n aagayaAmbiya, awsiya, awliya..sabka daaro madaar e baqa karbalakarbala jiski muddat se thi muntazirwo mo'eene shahe bekasaa'n aagayaDastageeri karega aaj har ek kibawajud ye ke honge qalam uske haathek laqab jiska baab e hawaej bhi haiwo mutee'e imam e zamaa'n aagayaJiteji wo raha bhukha pyaasa magaruske sadqe pa palte hai jinno basharkhadim e khaas jannat ke sardaar kaabd e salih, jawan e jinaa'n aagayaAlqama ghul bhi hai jiski zere qadamhar jagah jiska lehra raha hai alamgharb uske qadam sharf jiski jabee'nronake mehfil e kunfakaa'n aagayaRok sakta hai nazro se lashkar ko jochheen sakta hai ghaat ek naize se wojisko baab e shahadat bhi ghaazi kahewo jawaan o jari, pehelwaa'n aagayaFatema ki amanat samajhkar mujheapni aaghosh mein qabr mein rakh liyamujhse milne ko aaye Ali jab sunamere Abbas ka mad'ha-khwaa'n aagayaSibte jafar jo tha aam sa aadmikarte karte sanaye nabi o Alisaaya e parchame maula Abbas meinchalte chalte kaha'n se kaha'n aagaya
Mere Shabbir ka qadradan
Shaheed Sibte Jafar · 2012
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.