Meray Ghaazi Teray Bharosay ParKarbala Ka Kiya Tha Mainey Safar (x2)Meray Ghaazi Teray Bharosay ParKarbala Ka Kiya Tha Mainey SafarKis Qadar Mutmain Tha Saara Ghar ... Meray Ghazi ...Teri Zaynab yaqeen lekay chali,Azm e Ummul Baneen lekay chali (x2)Sar pey rakh li BATOOL ki chaadarTu na aaya tera alam aaya,Tauq o zanjeer ka situm aaya (x2)Hum chaley they baghair khaufo khatarChaaron jaanib hain zulm key bhaaley,Jamaa hain ran mein barchiyon vaaley(x2)Phir bhi bey khauf tha mera AKBARVoh bhi ab teer kha key soey ga,Us ka gehvaara khoon roeyga(x2)Muskuraata that bey zabaan ASGHARNaaz tha kitna apney Bhaai par,Teray baazu teray kalaaee par(x2)Na banaaya HUSSAIN ney lashkarKaun chaadar meray utaarey ga, Aur mujhay taaziyaaney maarey ga(x2)Sochti thi teri Behan aksarNanhi nanhi si baaliyaan hain jahaan,Khoon ki dhaar kheench na jaaey vahaan(x2)They SAKINA key kaan mein gauharAb ussey qaid ho kay phirna hai,Gir key uth hai uth key gir na hai(x2)Jis ney dekha na tha kabhi langarGhum vo “MAHUM” bayaan ho kaisey,Ab bhi nehre Furaat par jaisey(x2)Koi parhta ho marsiya “NAYYAR”
Meray Ghaazi Teray Bharosay Par
Hashmi Sisters · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.