Azadaron suno jab qabr-e-Sakina ki ziyaarat ko jaanaYaad rakhna ke Hussain ki betiAbbas o Zainab ki bhateejiQaid khaanay mein aaj tak tanha hai …Kabhi Baba ko yaad karti hai (x2)Kabhi Ammu Ammu kehti haiBus jab qabr-e-Sakina pe jaana,Tou Hussain, Hussain ki sadaaon ko buland karke,Bibi ko apne Baba ka pursa, denaaAur hosakay tou, zari-e-Sakina se buland hoti hui, in sadaaon ko bhi sunlenaRo lena, sunlena, ro lenaAao zawwaro aaoHaan mujh par ashk bahaoMujh pay roo sar ko peetoMain houn beti HUSSAIN kiMera naam hai SAKINAMain ghar walon ki pyaari theeAmmu ki raaj dulari theeMera Bhaiyya mujh par sadqay thameri Amman mujh par wari theeMera haal ye suntay jao (x2)Aur sab say ye duhraoJab dasween aaee Muharram kito apna bhara ghar ujar gayaJo hum nay masaib dekhay haindushman ko dikhlaey na khuda Ye noha mil kay sunao (x2)Kuch pursa detay jaJab zaair pani peetay hainASGHAR mujhay yaad aajatay hainKhud bahtay bahtay aankhon sayansoo pani ban jatay hainApnay dil ko tarpao (x2) Kuchashk bahatay jaoMeray ammu roz yahan aa karaghosh main mujh ko letay hainJo zaair mujh par rota haiABBAS duaain detay hainYan matam kartay jao (x2) Ammu ki duain paaoDekho to sitam ye ummat kazindaan main bana marqad mera Lekin ye hamari qudrat haizindan hi ziarat gaah banaTum bahr e ziarat aao (x2) Sab apni muradain paoTum say ye wasiaat hai meriye soch k tum girya karnaZakhmi hain meray kaan bohatrukhsaar tamanchon say neela Shor e girya ko barhao (x2) Yoon mera dard bataoJab ghut ghut kay main roti thee Amman ko aziyyat hoti theeSAJJAD tasalli detay thayBaba ko jis dam roti theeKehti thee Baba aao (x2) Ab sath mujhay lay jaoZindan main shimr (LA) jo aata thagodi main Phuphi kay chup jatiUs waqt ahista ahistaSAJJAD say main ye farmatiAey bhaiyya pass ajao (x2) Zaalim say mujh ko bachaoAey “MAHUM, ADEEYA, SAANIA” jab,Bibi ki ziaarat ko jaanaKuch nannhi nannhi balian tumBibi ki lehad pay charha denaAey “MAJID” ashk bahao (x2)Bibi ka noha sunao
Mera Naam Hai Sakina (s.a)
Hashmi Sisters · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.