Waqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kahamat dikhana meri amma ko kaleja babadekhte hi wo tadap jayengi mera laashamat dikhana meri amma ko kaleja babaWaqt e aakhir shahe wala se ye akbar ne kahamat dikhana meri amma ko kaleja baba1. Baba seene se ani yuhi nahi niklegireh gayi jaake kaleje mein sitam ki barchhikhaichte waqt nahi dekhna mera chehramat dikhana meri amma ko kaleja baba2. Dekhte hi mere laashe ko tadap jayegigar kaleja nazar aayega to marr jayegibaba kamzor hua karta hai dil har maa kamat dikhana meri amma ko kaleja baba3. Ghutniyo chalte hue aaye kareeb e akbarkis tarha jaoge aakhir meri mayyat lekargar kisi haal me laashe ko meri le jaanamat dikhana meri amma ko kaleja baba4. Ek hi baar mein mayyat ko nahi lejanababa thak jana to laashe ko kahi rakh denabaith kar khaak pe araam zara kar lenamat dikhana meri amma ko kaleja baba5. Jis ghadi khaime mein le jayenge mayyat meriek kohram bapa hoga qayamat hogihoga yu khoon mein dooba hua laasha meramat dikhana meri amma ko kaleja baba6. Wo kaha karti thi dulha bhi banaungi tumheek din phulo ka sehra bhi pehnaungi tumhedekho seene ka mere zakhm bohot hai gehramat dikhana meri amma ko kaleja baba7. Rakh ke seene pe mere haath kaha tha maa nedasht mein dhyaan kaleje pe bhi rakhna betechid na jaye kahi naize se tumhara seenamat dikhana meri amma ko kaleja baba8. Jis ghadi maa ki nigahe ho mere seene parus ghadi rakhna kaleje ko abaa ke andarbus ye keh dena ke ab gesuo wala na rahamat dikhana meri amma ko kaleja baba9. Tha use naaz bohot apne ali akbar parkis tarha dekhegi mujhpar wo sitam ka manzarchhin na jaye kahi pardes mein noor aankho kamat dikhana meri amma ko kaleja baba10. Maine socha tha ke marne pe tumhare bababaap ki laash ko dafnayega ek din betadasht mein maut ne zinda mujhe rehne na diyamat dikhana meri amma ko kaleja baba11. Yaad aati hai bohot fatima sughra merijaane kis haal mein dukhiyari mariza hogikaun batlaye use marr gaya tera bhayyamat dikhana meri amma ko kaleja baba12. Yu mubarak na kisi maa ka muqaddar tutemaa se pardes mein jaise ali akbar chhutegunjti reh gayi haider ye sare dasht sadamat dikhana meri amma ko kaleja baba
Mat dikhana meri amma ko kaleja baba
Haider ali shirazi jaunpuri · 2011
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.