Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mai rahib hoon

Meesum Abbas · 2020

Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)1. Mai hu rahib hai maseeh mera qabila logomere aaqa mere sardaar hai isa logoek haqeeqat se uthata hu mai parda logomera hussain hai isa ka maseeha logoimam e waqt ka mai intezaar karta huhalab ke dehr mein lamhe shumaar karta huyaqeen hai ye mera, jab ayenge maulamai unke qadmo mein gir kar sada lagaungatum pe maula mai fida jaan karuapne beto ko mai qurbaan karumai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)2. Suno ke tumko sunata hu waqeya aisameri hayaat mein aisa bhi waqt aaya thamai la walad tha aur ummeed na thi koi mujhehuzoor paak ne ye baat khud kahi thi mujhelauh e mehfooz ki tehreer bhi sunayi mujhemagar hussain ne us dum pisar diye the mujheek nahi, saath nageene ataa kiye the mujhehai ye ehsaan bada, bhulau kaise bhalaye baat unse kahunga ke farz hai ye meratum pe maula mai fida jaan karuapne beto ko mai qurbaan karumai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)3. Dafatan qafla ek shehr e halab mein pohchaya hussaina, ya hussaina se larazti thi fizaneend se mujhko jaga kar meri zauja ne kahakhwaab se jago ke phat-ta hai kaleja merakaun karta hai tadap kar giryakaun kehta hai ye baba babakhwab e ghaflat se utha, aur maine ye kahaaisa lagta hai chale aaye mere ghar maulatum pe maula mai fida jaan karuapne beto ko mai qurbaan karumai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)4. Sunke awaaz e jaise janib e dehleez gayameri aankho'n ko nazar aaya qayamat ka samaakya kahu maine ke in aankho'n se manzar dekhabe rida chand aseero ko khule sarr dekhakitne suraj the jinhe nauke sina par dekhamaine ek chota sa sar dil ko pakad kar dekhaek sar par nahi maujood ridaek sar sharm o hayaa se hai jhukaek rahwaar ki gardan mein bandhaek sar bar sare nauke naizadekh kar qafla mai aaho buka karta hupeet ke sar ko mai zaar o qataar rota humai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)5. Maine pehle bhi kahi dekhe hai aise chehreaise noorani bashar to mubahile mein hi theya khuda naize pe jo sar hai ye wo log na howo jo aulad e payambar hai ye wo log na hojinki tareef mein injeel mein bhi jumle haiwo jo chahe to pahado'n ko hila sakte haiyaqeen hai ye mera, jab aaenge maulamai unke qadmo mein gir kar sada lagaungatum pe maula mai fida jaan karuapne beto ko mai qurbaan karumai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)6. Wo jo sar natiq e qur'aan nazar aata thado sitamgaro ka us sar pe laga tha pehradarte darte jo mai nazdeek gayanaiza bardaro se maine puchaye jo khoo'n rota hai sar, kya hai zehra ka pisarpehra daro ne kaha, hai ye baghi ba khudahakim e shaam ne hai, ispe in'aam rakhaiske haami na bano tum rahibiske haami ka hai marna wajibmai pareshaan hua, aur ye kehne lagaek shak hai mere dil mein zara puchu isseek lamhe ke liye baat mai kar lu issemujhe is sar se mila do, jitni qeemat hai laga doek shab ke liye sar se, apne pehre ko hata dojab ijazat mili phir dil ko mere aaya qaraarmaine dirham bhi sipahi ko diye tees hazaarmai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)7. Leke us sar ko jo mai ghar pohchamaine us sar se kaha mujhko batabatao kaun ho tum, batao kaun ho tummai ye bola ke tera jurm hai kyawo ye bola ke Mohammad se wafamai ye bola ke tera naam hai kyawo ye bola mujhe pehchaan zaratera mehman hu mai, tera mehman hu mainibhane tifli ka wada..leke sab apna mai kunbaa..tere ghar aa gaya rahibmai payambar ka jigar hu rahibmai hi Zehra ka pisar hu rahibjisne bete tujhe bakhshe wo sakhi hu rahibba khuda mai hi husain ibn e ali hu rahibkarbala mein jo sitam toote batata hu tujheapne beto ka bhi maqtal mai sunata hu tujhemere abid ko lahu rulwayahaye baqir ka bachpana cheenamere akbar ko hai naiza maaramere qasim ko hai paamal kiyasar kiye aun o mohammad ke judaye intehaa hai ke asghar pe rehem na khaayaya hussaina, ya hussaina, ya hussaina, ya hussain..(2)mai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)8. Sun ke rahib ye baya'n thaam ke dil rone lagaaur aada ko sare shaah bhi wapas na kiyaek ek karke kiye saato pisar sheh pe fidaarsalan aazmi, meesam hai wo maujood jagahsar jaha'n maula hussain ibn e ali ka tha rakhadar e rahib hai jaha'n, karna mehsoos waha'ngoonjti ab bhi fizao'n mein hai rahib ki sadaatum pe maula mai fida jaan karuapne beto ko mai qurbaan karumai hu najraan ka rahibMai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.