Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Logo mai sakina hu

Hasnain Mehdi · 2016

Logo mai sakina hu'n..(2)sakina hu sakinaShabbir ki dukhtar hu mai poti hu ali kijis rukh se bhi dekho hu mai tasweer jali kiis tarha pali hu mai nigaho mein wali kijis tarha se taqdeer ho gulshan mein kali kihaider ki angoothi ka..(2)nageena hu nageenasakina hu sakinaSab heech hai irfan ke mauzu mere aagephailaye hai islam ne baazu mere aagekya bechti hai khuld ki khushbu mere aageabbas bhi kham karte hai zaanu  mere aagebistar hai mera hazrate..(2)shabbir ka seenasakina hu sakinaKamsin hu mai dikhne mein par adam se badi huadam bhi  bhala kya hai do aalam se badi hutum samjho to mai sura e maryam se badi hujis dum mein tha dum sheh ka mai us dum se badi huasghar ka muqaddar..(2)mere maathe ka paseenasakina hu sakinaThokar se muqaddar ka muqaddar mai jagaa duhoore bhi tarasti hai mai qadmo mein jagah dushaer abu talib ka jise chahu bana dumasroof e azaa jo hai unhe kyu na dua duqur'aan meri madha kare..(2)zeena ba zeenasakina hu sakinaYazdaan ke lab ho to baya'n ho ye fasanamasjood e malaek hai mera paak gharanamai hi to hu wehdat ka wo mastoor khazanaaajiz hai samajhne se jise saara zamanasab zere asar mere..(2)najaf ho ya madinasakina hu sakinaAlfaz e manajaat bhi maqrooz hai merekaunain ke haalaat bhi maqrooz hai mereye arzo samawaat bhi maqrooz hai merehadd ye hai ke saadat bhi maqrooz hoi meremeri na ijazat ho to...(2)dushwaar hai jeenasakina hu sakinaJis din mai bani zeenat e dast e shahe waalababa ne bhi ek lamhe ko dil apna sambhalamud kar kaha akbar se jaa zainab ko bulalatha wird e zabaa'n bibi ke ya rabbeyal aalamilkar rakha phir sab ne..(2)mera naam sakinasakina hu sakinaHargiz na samajhna mai koi farsh nashee'n huye bhi na samajhna ke koi arsh nashee'n huakkar e imamat ki azal se mai amee' hujis ghar mein pali fatema us ghar ki makee' hunabeena chala aaye..(2)use kardu mai beenasakina hu sakinaLogo mai sakina hu'nsakina hu sakina

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.