Ya Imaam-ul-Muntazar(atfs).. Ya Imaam-e-Ins-o-jaa'n(atfs)..(2)Mere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)1) Karbala se ishq hai mai hu azadaar-e-Husain(as)Is azadaari se hatkar zindagi mein kab hai chainQalb-e-muztar ko mere aa jaaega Maula(as) qaraarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)2) Baarwe'n Maula(as) mere ay asr-e-haazir k ImaamHai abhi baaqi jo Maula(as) Karbala ka inteqaamSaath mein hum bhi ho jab leharaaye tegh-e-KirdegaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)3) Karbala-e-nau hai phir baeyat talab nasl-e-Yazid(la)Muntazir hain maatami bas Aapki ho jaye deedFarsh-e-majlis par yehi hai har Husaini ki pukaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)4) Hai yehi hasrat Baqi taameer ho Shaah-e-Zamaa'n(afs)Aapke hamraah jaaye'n aur kare maatam wahaa'nJis jagah uththe nazar Shabbir(as) k ho'n pursadaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)5) Aap jo aaenge Maula(as) parcham-e-Hazrat liyeDil mein hain hum har ghadi bas khwahish-e-nusrat liyeKar raha hai ye dua har maatami yu'n dilfigaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)6) Zindagi ka kya bharosa saan's ruk jaaye abhiDekh le bas Aapko itni ataa ho zindagiAapko haasil hai saanso'n par bhi meri ikhteyaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)7) Hum samajh lenge hamari zindagi ka hai husoolYe dua "Salman" aur "Imran" ho jaaye quboolJaan-o-tan qadmo'n pe kar de apne Aaqa k nisaarMere Maula(as) ho zamaane mein mujhe haasil weqaar..Lashkar-e-Mehdi(atfs) mein mera naam ho jaye shumaar..(2)..............Shukr-e-Maula(as)..............
Lashkare Mehdi(at.s.f.)
Imran Mehdi · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.