Lahu se aaj haidar keDare mahraab hai rangeeLagi talvaar haidar koMusalla ho gaya zakhmi.Jo miskeeno ka tha miskeenYateemo ka sahaara thaJo raato ke andheron meHar ek ghar ka ujaala tha.Sakhi ibne sakhi koIbne muljim ne kiya zakhmi.Lagi talvaar haidar koMusalla ho gaya zakhmi.Pachaade khaate hain zainabKabhi kulsoom roti hain.Ali ki aankhri rukhsat khuda ke ghar se hoti hai.Hui viraan masjid har daroDeewaar hai ghamgee.Lagi talvaar haidar koMusalla ho gaya zakhmi.Bine muljim ne haidar ke gharaane par, sitam dhaaya.Lagaai tegh woh kaariNamaazi ko gaya maaraUtha kaandho pe laasha haay kaleja ho gaya chalni.Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.Lo aayin khuld se zahraRasoole paak rote hain.Jhukaaye sar khade dar parKabhi jibreel rote hain.Mere maula ke gham neHar dilo ko kar diya gham gee.Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.Nabooat ki imaamat kiJo ban ke jaan aaya tha.Rajab ki teraah ko kaabe kiBan ke shaan aaya tha.Gaya woh aaj dunyaa seFizaahe cha gayin gham ki.Lagi talvaar haidar koMusalla ho gaya zakhmi.Mere maula ne sharbat ka pilaaya jaam qaatil ko.Lagaai zarb jisne kar diyaAazaad qaatil ko.Sakhi aise mere maula kiKaisi zindigi kar dee.Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.Sada armaan ka maula salaame aankhri le lo.Aye maula apne saaye meHar ek gham khaar ko le lo.Padho rizwaan nauhaAaj hai har matmi gham gee.Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi
Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi
Rizwan Rizvi · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.